Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Sahaba Ka RasoolAllah Se Muhabbat Ka Manzar

hi  -
Sahabao ka RasoollAllah ﷺ se muhabbat ka manzar RasoolAllah ke sahabi, Urwa bin Masood r.a. bayan karte hai. Ye waqya hai Sulah Hudaibiya ke mauke ka. Is mauke par Urwa r.a. musalmaan nahi hue the, wo baad me Musalman hue the. Urwa r.a. kafiro ki taraf se Agent ban kar aye the Aap ﷺ ke pas unse mu'aida karne ke liye. Fir Jo Manzar unhone RasoolAllah aur sahaba ke darmiyan dekha wo ye tha, Urwa bin Masood r.a. us manzar me:

“Urwa r.a. Ghoor Ghoor Kar RasoolAllah Ke Ashaab R.a. Ki Naqal Aur Harkat Dekhte Rahe. Fir Raawi Ne Bayan Kiya Ke Qasam Allah Ki Agar Kabhi Rasool Allah ﷺ Ne Balgam Bhi Thooka Toh Rasoolallah Ke Ashaab Ne Apne Haathon Par Use Le Liya Aur Ise Apne Chehre Aur Badan Par Mal Liya, Kisi Kaam Ka Agar Rasoolallah Ne Hukum Diya Toh Uski Bajaawari Me Ek Dusre Par Log Sabqat Le Jane Ki Koshish Karte. Rasoolallah Wuzu Karne Lage Toh Aisa Maloom Hua Ke Rasoolallah Ke Wazu Ke Paani Par Ladai Ho Jaayegi (yaani Har Shakhs Us Paani Ko Lene Ki Koshish Karta Tha). Jab Rasoolallah Guftagu Karne Lagte The Toh Sab Par Khamoshi Chaa Jati. Rasoolallah Ki Taazeem Ka Yeh Haal Tha Ke Rasoolallah Ke Sathi Nazar Bhar Kar Rasoolallah Ko Dhekh Bhi Nahi Sakte The."

Fir Jab Urwa r.a. Jab Apne Sathiyon Se Jaa Kar Mile Toh Un Se Kaha,

Aye Logon! Qasam Allah Ki, Mai (Bade-Bade) Baadshahon Ke Darbaar Me Bhi Wafad Le Kar Gaya Hu Kaisar O Kasra Aur Najashi Sab Ke Darbaar Me, Lekin Allah Ki Kasam Mai Ne Kabhi Nahi Dhekha Ke Kisi Baadshah Ke Sathi Uski Is Darja Taazeem Karte Hon Jitni Rasoolallah Ke Ashaab Rasoolallah Ki Karte Hai, Allah Ki Qasam Agar Rasoolallah Balgam Bhi Thook Diya Toh Unke Ashaab Ne Use Apne Hathoon Me Le Liya Aur Use Apne Chehra Aur Badan Par Mal Liya, Rasoolallah Ne Unhein Agar Koi Hukum Diya Toh Har Shaks Ne Use Baja Laane Ki Koshish Ki, Rasoolallah Ne Agar Wuzu Kiya Toh Aisa Malum Hota Ke Rasoolallah Ke Bache Hue Wazu Ke Paani Par Ladai Ho Jayegi Ki Kaun Us Pani Ko Hasil Karle. Rasoolallah Ne Jab Guftagu Shuro Ki Toh Har Taraf Khamoshi Chaa Jati. In Ke Dilon Me Rasoolallah Ki Taazeem Ka Yeh Aalam Tha Ke Rasoolallah Ko Unki Izzat Ke Wajah Se Nazar Bhar Kar Bhi Nahi Dekh Sakte The.”

Sahih al-Bukhari, Book of Conditions, Book no. 54, Hadith-2731, 2732.


•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sahaba ke naqshe-qadam par chalaye. aameen.

Post a Comment