اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Sahih Aur Zaif Hadith Me Fark Na Karne Ka Anjaam


Is article ko banane ka maqsad ye hai ki jab tak ham Sahih aur Zaif hadith ka farq nahi karenge tab tak hamara eeman muqammal nahi hoga kyuki boht si aesi zaif hadeese hai jinhe agar maan liya jaye to hamara eeman baki nahi rah sakta. Kyuki ab kuch logo ke Aqide aur namaz ke tarike zaif hadith pe hote hai aur jab unse islah ki jati hai to kahte hai ki ye hadeeso ko zaif kahdete hai. To iska jawab ye hai ki Ham nahi balki Muhaddiseeno ne hadeeso ko zaif kaha hai. Ham kaun hote hai un hadith ko zaif kahne wale. Ye usool e hadith ki kam-ilmi ke wajah se aesi baate karte hai. Imam Muslim ne apni kitab Sahih Muslim ke Muqaddamah me kaha hai ki Zaif hadith Islam me Dalail ke taur par nahi liya ja sakta chahe wo Fazail ke muamle me hi kyu na ho. Aur boht se Muhaddiseen ne bhi ye kaha hai (dekhne ke liye click kare). Ab isi ke Mutallik chand hadeese pesh karne ki koshish karte hai taaki agar kisiko zaif hadeeso ko manna ho to in zaif hadeeso ko bhi maane aur eeman se khali ho jaye.

۞1. Syedna Huzaifa bin Yamaan ne  Abu Musa al-Ashari r.a. ko samne se aate hue dekha to kaha ki ye Munafiq hai.

Al Marifa wa Tareeq: jild 1 p, 365; Al makatabatu ashamila.

Sahih al Bukhari aur Sahih Muslim ke tahat Syedna Huzaifa bin Yamaan wo sahabi hai jinko RasoolALlah ﷺ ne munafiq ke naam bataye the. Ab is hadiht ke tahat Abu Musa farigh aur inse tamam hadeese farig ho gai jab ke ye sahaba ki hadith Sahih al Bukhari aur Muslim me bhi hai. Is hadith ki muttasil sanad hai bas 1 sukam hai. Is hadith me Imam Amash hai jo Mudallis hai. Lihaza ye hadith zaif hui. Ab agar is hadith ko maan liya jaye to nauzbillah hamara eeman baki nahi rahta kyuki ham ek sahaba par munafik ka ilzam laga rahe hai aur fir isi wajah se hame Bukhari aur Muslim jaise buland kitab ko bhi chhorna padega. Imam Muslim ka bhi kahna hai Sahih Muslim ke muqaddamah me ki Mudallis ki 'An' wali riwayat qubul  nahi ki jayegi jab tak sama ki Tashree na ho.

Ek baat aur gaur kare ki jo hamare kuch bhai kabr se madad ke silsile me ek hadith dete hai ki ek Arabi aya RasoolALlah ki kabr par aya aur fir usne kaha ki maine apne jaan par zulm kiya fir aata hai ki RasoolAllah ne kaha ki Jao Umar r.a. ko mera salaam kaho aur kaho ki sakhti na kare.

Ab is hadith ki bhi sanad Mutassil hai lekin is haidth me bhi wahi problem hai jo upar wali hadith me bayan kiya gaya ki isme Amash mudallis hai. Lihaza agar hamare kuch bhaiyo ne is hadith ko sahih manna hai to upar wali hadith ko bhi sahih maane ki Nauzbillah sahaba Musa al-Ashari r.a. munafiq hai. MaazAllah! Astagfirullah!



۞2. Hudhayfah r.a. jo kahte hai ki ‘Abd-Allaah ibn Mas’ood r.a. ne kaha ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki Teen masjido [al-Masjid al-Haraam (in Makkah), al-Masjid al-Nabawi (in Madeenah) and al-Masjid al-Aqsa (in Jerusalem)] ke alawa kisi masjid me Aetiqaf jayz nahi hai.

Al-Bayhaqi, 4/315.

Is hadith ki bhi puri sanad mutassil hai siwae iske ke is hadith me Sufyan ibn `Uyaynah r.h. Mudallis hai jo ki 'An' se riwayat kar rahe hai. Toha ab jo Tadlees wali hadeeso ko zaif nahi manta ho wo in teen masjid ke alawa kisi masjid me Aetikaf bhi na kare.

Aur isi wajah se ek wo hadith bhi zaif ho gai Jo Sunan Abu Dawud aur Sunan Tirmidhi me aya hai, aur dono Imam ne kaha hai ki ye hadith sahih aur sabit nahi hai.

Abdullah bin Masood r.a. ne farmaya:’Kya main tumhei’n Rasool Allah ﷺ ki namaz na bataou’n? inho’n ne namaz padhi aur hath na uthae magar pehli martaba.’

(Abu Dawood: as Salah 257).

Ab Is haidth me Sufyan As-Suri Mudallis hai aur wo 'An' se riwayat kar rahe hai. Lihaza jisko ye hadith sahih manni hai to woh sahabi e Rasool Musa al-Ashari r.a. ko Munafiq mane. MaazAllah.



۞3.  RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Jo shaks apne Nasab par fakr kare usse kaho ki apne baap ka Sharamgaah (private part) kaat kar apne Muh me rakh le. Aur ye baat kanaye se na kahna, sidha karna."

Musnad Ahmed:21272, Al Adab al Mufrad:963, Mishkat al Masabih:4902, Al makatabatu ashamila.

Astagfirullah!!! Kyu Huzur apni zuban se aesi baat nikal sakte hai? Quran me aya hai ki Nabi ﷺ aqhlaq ke buland darje pe Faa'iz hai. Aur Sahih al Bukhari aur Sahih Muslim me riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ me Kawari ladkiyo se bhi zyada sharm o haya thi. Ye hai Bukhari aur Muslim!!! aur wo hai dusri kitabe.

Ye Hadith Daif hai kyuki isme Hasan Basri Mudallis hai aur wo An se riwayat kar rahe hai.



۞4.  Nabi ﷺ ki nazar ek baar Zayd ibn Harithah (Muh bole bete) ki biwi par padi toh Huzur ko pasand aagayi, Fir Allah ne huzur ﷺ ko khush karne ke liye Zayd Ibn Harithah ke dil me apne biwi ke liye nafrat daal di Taaki wo Talaq dede aur baad me Huzur ne khud shadi karli unse.

Imam Ibn Jareer ki Tafseer e Tabari, Surah al Ahzaab.

Wazahat: Darasal Hua yahi tha ki Zayd r.a. ne apne biwi ko chhor diya tha lekin is tarha se nahi hua tha Surah al Ahzaab ap padh kar dekh le is ke detail ke liye. Ab Ye jo upar ki hadith hai ye jhuti kahani banayi gayi hai. Aur ab agar is riwayat ko maan liya jaye to fir Munkireen e hadith to thik kahte hai ki Quran to kahta hai ki, "Tumhare Nabi na to kabhi bahke hai aur na kabhi be-raah chale hai".  Agar ye hadith maan li jaye ki nauzbillah Nabi ki nazar na-mahram par padi aur unhe pasand aagai to fir hamara eeman hi nahi bachega, aur Deen ka beda Gark ho jayega. Allah ki panah!! Aur wo hadith fir yad karle jo Bukhari aur Muslim me hai ki Nabi ﷺ me kawari ladkiyo se zyada sharam aur haya hai.



۞5.  Nabi ﷺ ki Mubarak zuban par shaitan ne Do (2) ayat aur jari kardi Apni taraf se. Aur wo ayat hai:
"Ye Teeno (Laat, Manat, Uzza ) badi Buland Deviya hai aur inki shafaat zarur Qubul ki jayegi."

Tafseer Tabari aur Tafseer ibn Kaseer, Surah Hajj, ayat 52.

Note: Ye Laat, Manat aur Uzza jahiliyat ke zamane ke But (Idol) the, jinki ibadat mushrikeen e Arab kiya karte the.

•٠•●●•٠•