Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Shab e Barat Aur Iski Haqeeqat


Shaban Maheene Mein 15th Shab Ko Shab-E-Barat Ke Naam Se Yaad Kiya Jata Hai ...!!

Kuch log is raat ke liye shab-e-qadr jaisi fazilate bayan karte hain.. Yeh aqeedah rakha jata hai ke is raat pure saal me hone wale waqiyaat ka faisla kiya jata hai. Is raat infiradi wa ijtimayi ibadato ka ahtmam kiya jata hai, atish baziya ki jati hain, Masjido me charagha kiya jata hai, bewa aurte ye samajhti hai ke unke shoharo ki roohe is raat aati hai isliye behtreen kism ke pakwaan tayyar karke unka intezar karti hain.

Shab-e-barat ki fazilat me Quran ki ye ayat pesh ki jati hai, "Hamne is (Quran) ko mubarak raat me nazil farmaya, ham logo ko darane wale hain" (al-dukhhan, ayat no.3)

In ka yeh qawl sarasar galat wa bebuniyad hai jiski daleel yeh hai ke Allah Rabbul alaalameen ne is ayat me jis raat ko mubarak raat kaha hai woh Ramzan ki shab-e-qadr hai na ke shab-e-barat. Kyonki yeh baat har Musalman janta hai ke Quran e kareem ka nuzool maahe Ramazan me hua hai na ke shaban ke mahine me.

Irshad-e-Rabbani hai,

“Ramzan toh woh mahina hai jisme Quran majeed nazil kiya gaya”. 

Surah baqara, ayat- 185.

Dusri jagah Rabbul aalaameen irshad farmata hai,

“Humne is (quran kareem) ko shab-e-qadr main nazil farmaya tumhe kya malum ke shab-e-qadr kya hai, shab-e-qadr main ek raat ki ibadat hazar mahino ki ibadat se behtar hai.”

Surah qadr, ayat 1-3.

In ayaat se malum hua ke Surah adh-dukhan ki ayat no. 3 me jis mubarak raat ki taraf ishara kiya gaya hai usse murad shab-e-qadr hai na ke shab-e-barat!

Shaban ki 15wi raat ki fazilat me jo bhi hadeese bayan ki jati hain sab ki sab sehat ki aetebaar se mauzoo hai ya zaeef hai (daleel). Isi tarhan is raat ki ibadato ke silsile main jo bhi hadees bayan ki jati hain woh saari mauzu hain.

Ek hadees hai jo 15wi shab ke liye bayan ki jati hai "RasoolAllah ﷺ Ne farmaya ke Allah 15 wi shaban ki raat ko tamam makhlukh ki bakhshis farma dete hai siwaye shirk karne wale ke aur keena rakhney wale ke." 

Sunan ibn majah, vol 1 , # 1390.

Lekin is hadees ko Muhaddiseen e karaam jaise Shaykh Zubair ali zai wagaira zaif karar dete hai.  Isme 2 raawi zaif hai, Ibn lahya aur Waleed bin Muslim aur dono 'an' se riwayat kar rahe hai aur samaa ki tashreeh maujood nahi hai.

Aur jahan tak logo ki maghfirat ki baat hai toh ye sirf isi raat ke sath khas nahi hai balke yeh to roz hota hai, jaisa ke saheeh ahadees se sabit hai ki “Allah s.w.t. har din akhri raat ke pehar me sama e dunia par aata hai aur yeh aelaan karta hai ke, 'Kaun hai jo mujhe pukare fir mai uski dua ko qabool karu, kaun hai jo mujhse sawal kare aur mai use doo, kaun hai jo mujh se maghfirat talab kare aur fir main uski maghfirat kardu".

Isse malum hua ke gunaho ki maghfirat ka kaam hamesha hota rahta hai. Yeh sirf shab-e-barat ke sath khas nahin.

Haqeeqat yeh hai ke shab-e-barat ka Islam se koi talluq nahi.

Ab koi yeh kahe ke ham is raat ibadat hi to karte hain to isme burayi kya hai? Burayee ibadat me hargiz nahin hai burayee hai is baat me ke jo baat Rasool ﷺ ne nahi batayee woh hum kaise kar sakte hain? Kya ham Rasool se zyada Deen ki samajh rakhte hai?

Ek insan agar Asar ke 4 farzo ki jagah 5 parhne lage to kya woh sahee hoga? Hargiz nahin jabke woh ek rakat namaz hi zyada parh raha hai par RasoolAllah ﷺ ne 4 bataye hai toh ham usse zyada ya kam nahi kar sakte. Iski hadees se ek misaal kuch aesi hai:

Sa'iid Ibn al Musayyib r.a. (Tabaeen) ne ek shaks ko suraj tulu hone ke baad do rakat se zyada padhte hue dekha sajda aur ruko me izafa karte hue, toh unhone use mana kiya ye karne se. Us shaks ne jawab diya: 'Ae Aba Muhammad, kya Allah mujhe namaz padhne ke liye saza dega? Unhone kaha: 'NAHI, LEKIN WO TUMHE SUNNAT SE IKHTILAF KARNE KE LIYE SAZA DEGA'.

SUNAN AL-KUBRA 2/466.

Isi tarha ibadat Allah swt ke yaha woh qubool hogi jiske karne ka hukum Rasool ﷺ ne diya hai. Aur shab-e-barat ki ibadat kisi bhi sahee ahdees se sabit nahin.

Zara sochye ke agar yeh itni fazilat wali raat hoti to kya sahaba e karaam is raat ko ibadat na karte? Koi ek bhi waqiya sahaba e karam se sabit nahi ke un logo ne is raat ko khaas ibadat ki ho. Jo khaas ibadat ki raat hai woh toh Ramadan ki shab-e-qadr hai usme jitni chahe ibadat karein!

Ek baat yaad rakhein ke Allah swt us ibadat ko qubool karta hai jisme niyat khalis Allah ki raza ki ho aur tareeqa khalis RasoolAllah ﷺ ka ho!

Ek baat aur ki jaati hai 15 tareekh ko ke log halwa banate hai baant te hai apas main aur bahut sawab samajhte hain. Iski haqeeqat kya hai yeh bhi dekh lein..!! Halwa banane wale iski daleel yeh dete hain ke ghazwa-e-ohad me Rasool ﷺ ke daant mubarak shaheed hue the takleef ki wajah se Aap ﷺ khana khane se qasir the, isliye Rasool ﷺ ne halwa naush farmaya tha, Aap ﷺ ki is sunnat par amal karte hue is raat halwa khaya jata hai.. Yeh woh daleel hai jis par unki puri imarat qayam hai.

Tareekhi aetebar se bhi ye daleel be-buniyad hai isliye ke ghazwa-e-ohad shawwal 3 hijri me paish aya tha na ke shaban ke mahine main, yeh kitni khilafe aqal baat hai ke daant mubarak maah e shawwal me shaheed ho aur halwa khane ki sunnat maah e shahban me ada ki jaye. Woh bhi sirf ek din? Aur agar sunnat se itni hi muhabbat hai to pahle dant shaheed karwaye fir halwa khaye..!!

•٠•●●•٠•

Shab e barat ki fazilat ke mutallik zaif riwayato ko janne ke liye ye link check kare:
https://www.iqrakitab.com/2018/01/shab-e-barat-ki-fazilat-ke-mutallik-zaif-riwayate.html

Hame Whats App par join karein: +9779868212118