اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jan 2018

Sirf Allah Se Hi Madad Kyu ?


Abu Zarr r.a. se riwayat hai ki unhone Rasoollullah ﷺ se suna ki Allah Subhanahu ne farmaya:

"Aye Mere bando maine zulm ko apne upar haram kiya hai aur tum par bhi haram kiya... to ek doosre per zulm na kiya karo"

"Aye mere bando tum sab gumraah ho siwa uske jise maine hidayat di.. Tum mujhse hidayat maango mai tumhe hidayat dunga"

"Aye mere bando tum sab bhooke ho siwa uske jisey mai ne khana khilaya...Tum mujhse khana maango. Mai tumhe khana dunga.."

"Aye mere bando tum sab nange ho siwa uske jisey maine libas pehnaya..Tum mujhse libas maango. Mai tumhe libas dunga"

"Aye Mere bando tum raat din gunaah karte ho aur main sab gunaahon ko maaf krta hoon...to bakhshish maango mujhse main bakhshunga tumko"

"Aye mere bando tum mera kuch nuksaan nahi kar saktey aur na mujhko faayda pahuncha saktey ho.
Ai mere bando agar tumhare agle aur pichle aur aadmee aur jinnat sab aisey ho jaaye jaisey tum mein ka bada parhezgar to meri sultanat mein kuch afzayeesh (Addition) na hogi aur tum mein agle aur peechle aur admee aur jinnat sab milkar aise ho jaye jaise zameen ka bada badkaar shaksh to meri Saltanat mein se kuch kami na hoga"

"Aye mere bando agar tumhare agle, pichle aur aadmee aur Jinnat sab ek maidan mein khade ho phir mujhse maangna shuru kare aur main har ek ko jitna maange de du tab bhi mere paas jo kuch hai wo kam na hoga magar itna jaise dariya mein suyee daal kar nikal lo."

"Aye mere bando ye tumhare hi aamal hain jinko tumhare liye shumar karta rahta hun phir tumko in aamal ka pura badla dunga... to jo shaksh behtar badla paye use chahiye ki Allah Subhanahu ka shukr kare ki uski kamayee bekar na gayee aur jo bura badla paye to apney hi aapko bura samjhe."

Hazrat Said r.a. ne kaha ki Abu Idris jab ye hadith bayan karte to apne ghutno ke bal gir padte the.

Sahih Muslim, Vol-6, hadith- 6572.