اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Surah Fatiha Ki Tafseer


Surah Fatiha, Ayat 1-7.

Aauzu Billahi Minashaitanir Rajeem. Bismi Allahi arrahmani arraheem.

Mai Panah Maangta Hu Allah Tala Ki Shaitaan Mardood Se. Shuru Allah Ke Naam Se Jo Behad Maherbaan Nihayat Rahem Wala Hai.

1. Allah Ke Naam Se Jo Bohat Maherban Bohat Raham Kerne Wala

2. Sab Tareef Allah Taalaa Kay Liye Hai Jo Tamam Jahanon Ka Palney Wala Hai.

3. Bara Meharban, Nihayat Reham Kerney Wala.

4. Badlay Kay Din (Yani Qayamat) Ka Maalik Hai.

5. Hum Sirf Teri Hi Ibadat Kartay Hain Aur Sirf Tujh Hi Say (Gaibi Taur Par) Madad Mangte Hain.

6. Hume Seedhi Raah Dikha.

7. Unn Logon Ki Raah Jin Per Tu Ney Inaam Kiya, Naaki Unlogo Ki Raah Jin Per Ghazab Kiya Gaya.

۩ Tafseer e Ibn Abbas r.a.:

Hazrat Ibn Abbas r.a. farmate hain ke ek din Hazrat Jibrail a.s. Nabi ﷺ ke paas baithe hue the ki achanak upar se ek awaz suni to Aap ﷺ ne apna sar mubarak uthaya Hazrat Jibrail a.s. ne farmaya ke ye darwaza aasmaan ka hai jise sirf aaj ke din khola gaya hai, is se pahle kabhi nahi khola gaya.  Fir us se ek Farishta utra Hazrat Jibrail a.s. ne farmaya ke ye Farishta jo zameen ki taraf utra hai ye aaj se pahle kabhi nahi utra. Us Farishte ne salaam kiya aur kaha ke Aap ﷺ ko un do Nuron ki khush khabri hai jo Aap ﷺ ko diye gaye jo ke Aap ﷺ se pahle kisi Nabi ko nahi diye gaye, Ek Surah Al Fatiha aur Dusri Surah Al Baqra ki aakhiri Aayat Aap ﷺ in me se jo bhi hurf padhenge Aap ﷺ ko us ke mutabiq (sawab) diya jayega.

Sahih Muslim, Hadith 1760.

۩ Tafseer e Abu Huraira r.a.:

Abu Hurairah r.a. Se Riwayat Hai Ke Nabi ﷺ Ne Farmaya,
“Jis Ne Namaz Padhi Aur Isme Surah Fatiha Na Padhi To Uski Namaz Naaqis Hai (Puri Nahi) Teen Baar Farmaya,”.
Abu Huraira r.a. Se Kaha Gay Ke Agar Hum Imam Ke Peeche Ho Toh?
Ap r.a. Ne Farmaya Aahista Padha Karo Kyunki Maine Rasulallah ﷺ Se Suna Hai Ke Allah Tala Ne Farmaya Namaz Mere Aur Bande Ke Darmiyan Aadhi Taqseem Hogai Hai, Aur Mera Banda Jo Bhi Maange Ga Use Wahi Milega. Chunanche Banda Jab Alhamdulillahi Rabbil Aalamin Kahta Hai To Allah Tala Kahte Hai, "Mere Bande Ne Meri Taarif Ki". Jab Banda Ar Rahmanir Rahim Kahta Hai To Allah Kahte Hai, "Banda Ne Meri Khubi Aur Buzurgi Bayan Ki Aur Kabhi Farmata Hai Ke Banda Ne Apne Kamo Ko Mere Supurd Kar Diya".fir Jab Wo Iyya Kana Budu Waiyya Kanastain Kahta Hai To Allah Farmate Hai, "Ye Mere Aur Bande Ke Beech Hai Aur Mere Banda Ko Jo Wo Mange Milega". Jab Wo Ihdinas Siraatal Mustaqim……walazzuwaalin Kahta Hai To Allah Tala Farmata Hai, Ye Mere Bande Ke Liye Hai Aur Jo Wo Mange Ise Wahi Milega".

Sahih Muslim, Kitab Al Salaat, Baab: Wajoob Qirat Fatiha, Hadith 878.

•٠•●●•٠•