Tahiyyatul wuzu, wuzu karne ke baad do rakat namaz padhne ka naam hai. Aur riwayato me iski bahot ahmiyat milti hai. Lekin ham maise aksar is namaz se anjaan hai.
Abu Hurairah r.a. bayan karte hai ke Rasoolullah ﷺ ne namaz fajar ke waqt Bilal r.a. se farmaya: ‘Aye Bilal! Mere saamne apna wo aamal bayan karo jo tumne Islam me kiya aur jis par tumhe sawab ki bahot zyada ummeed hai, kyu ke maine apne aage Jannat me tumhare jutiyo ki aawaaz suni hai.
Bilal r.a. ne arz kiya, Mere nazdeek jis amal par mujhe (sawaab ki) bahot zyada ummeed hai. Wo ye hai ke mai ne Raat ya Din me jab bhi wuzu kiya to is wuzu ke sath jis qadr nawafil namaz mere muqaddar me thi zaroor padhi (yaani har wuzu ke baad 2 rakat nawaafil padhe).’
Sahih al Bukhari, kitab al tahajjud, hadees- 1149. Sahih Muslim, fazaael al sahaaba, baab min fazaail bilal, hadees- 2457.
Uqba bin Aamir r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
‘Jo Shaqs wuzu kare aur khoob sanwar kar accha wuzu kare. Fir khada hokar dil aur munh se (zaahiri o baatini taur par) mutawajje hokar 2 raka’at (nawafil) namaz adaa kare to iske liye jannat wajib ho jati hai.’
Sahih Muslim, at-tahaara, hadees- 234.
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo hame is namaz ko kasrat ke sath ada karne ki taufeek ata kare. aameen.
Post a Comment