Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Taraweeh Fard Hai Ya Sunnah?


Urwa bin Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ayesha radi allahu Anha ne farmaya ek baar (Ramadan ki ) aadhi raat mein Rasoollallah ﷺ masjid mein tashreef le gaye aur wahan taraweeh ki namaz padhi, sahaba Radi Allahu Anhuma bhi aapkey saath namaz mein shamil ho gaye, subah huyee to unhoney uska charcha kiya phir dusri raat mein log pahley se bhi zyada shamil ho gaye, aur Aap ﷺ ke saath namaz padhi. Dusri subah ko aur zyada charcha hua to teesri raat us sey bhi zyada log jama ho gaye , Aap ﷺ ne (us raat bhi) namaz padhi aur logo ne aapki pairwi ki, Chothi raat ko ye aalam tha ki masjid mein namaz padhney aaney walo ke liye jagah bhi baqi nahi rahi ( magar us raat Aap ﷺ Namaz ke liye bahar hi nahi aaye) bulki subah namaz ke liye tashreef laye aur jab namaz padh li to logo ki taraf mutwajja ho kar shahadat ke baad farmaya Amma baad tumharey yahan jama honey ka mujhe ilm tha lekin mujhe iska khauff hua ki ye namaz tum par farz na ho jaye aur phir tum usey ada na kar sako Aur Aap ﷺ ki wafat ke baad bhi yahi kaifiyat rahi ( log alag alag taraweeh padhte rahe ). 

Sahih Bukhari, Vol 3, hadith 2012.

Ye hadith se pata chalta hai ki Taraweeh fard nai hai sunnah hai lekin isko fard na samajhte hue bhi iske ajar se mahroom nahi hona chaiye. Shariah me is namaz ka ajar boht zyada hai.

RasoolAllah ﷺ ne farmay, “Jisne Eeman ke sath aur sawaab ki niyat se ramzan ka qiyaam kiya Allah Ta’ala iske pichle tamaam gunah maaf farma dete hain".

(Bukhari: Salatut Taraweeh 2008 – Muslim: Salatul Musafireen 759).

•٠•●●•٠•

Hame Whats App par join karein: +9779868212118