اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Taraweeh, Tahajjud, Qiyam Al Lail Me Fark


Islami Shariah Me Taraweeh, Tahajjud, Qiyam Al Lail Aur Qiyam E Ramadan Aur Witr Ek Hi Namaz Ka Naam Hai.

Qiyam al lail do lafz se bana hai: Pahla Qiyam aur dusra al Lail. Qiyam ka matlab khade hona hota hai aur al Lail ka matlab raat hota hai. Isliye lughat me iska matlab raat ko khade hona hota hai. Lekin Islami Shariah me ye ek Nawafil namaz hai jo Isha ke baad aur fajr se pahle padhi jati hai . Qiyam alfaz diya gaya tha kyuki ek shaks apne nawafil namaz me lambi ayate padhta hai toh khade hona lambe waqt tak ho jata hai. Isi liye is namaz ko Qiyam ul lail kahte hai.

Tahajjud, hajada lafz se aya hai jiska matlab uthna hota hai. Toh jab koi shaks so jata hai aur namaz  padhne ke liye uth ta hai toh is ko tahajjud kahte hai.

Taraweeh: Ye lafz arabic lafz "raahha" se aya hai  jiska matlab aaraam karna hota hai. Kyuki RasoolAllah ﷺ ke kuch nasl ke baad jab log Taraweeh padhte the to char rakat ke baad thoda aaraam karte the. Toh us waqt se ye lafz istemal hone laga Ramadan me Qiyam ul lail ke badle . Ye Taraweeh lafz khas ramadan me jo Qiyam ul lail hota usko kahte hau, gair ramadan ko nahi. Lekin RasoolAllah ﷺ ke waqt me ye lafz ka istemal nahi hua tha aur na hi sahaba ke waqt me. Isi liye apko Quran aur sunnah me kahi bhi ye lafz nahi milega. Isi liye behtar lafz Qiyam ul lail hai na ki Taraweeh.

Jab Ayesha r.a. se pucha gaya ki RasoolALlah ﷺ ki Ramadan ki raat ki namaz kaisi hoti thi to unhe saaf saaf sirf ek hi namaz ka zikr kiya. Agar Taraweeh aur tahajjud alag namaz hoti to wo ye zarur puchti ki Raat ke kis namaz ki baat kar rahe hai sahabi:

۩ Abu Salma bin 'Abdur Rahman r.a. riwayat karte hai ki maine Aisha r.a. se pucha ki RasoolAllah ki Ramadan ki raat ki namaz kaisi hoti? Unhone farmaya ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool ﷺ gyarah (11) rakat se zyada nai padhte the. (Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

Sahih al Bukhari, hadith-1147, 2013, 3569.

Is hadith se malum hua ki Tahajjud, Qiyam ul lail, Qiyam e ramzaan aur Namaz e Taraweeh ek hi namaz ke mukhtalif naam hai.

Kuch log kahte hai ki ye tahajjud ki namaz ke bareme hai na ki Taraweeh ki namaz ke bareme to un ke ilm ke izafe ke liye bata du ki Islam ke sabse bade muhaddith, Imam Bukhari, unhone apne kitab e saheeh me is hadith ko Kitab Salat al-Taraweeh (Book of Taraweeh)  me likha hai. Aur ek Baat gaur karne wali hai ki RasoolAllah aur sahabao ne "Taraweeh" alfaz kabhi nahi istemal kiya tha ye alfaz baad me istemal kiya gaya tha. Isi Liye hadith ke arabic alfaaz me "Taraweeh" word kahi bhi nahi milega apko. 

Aur bhi boht saari ahadiths hai jo kahti hai ki RasoolAllah ne Ramzaan ke raato me sirf ek hi namaz padhi. Agar Taraweeh aur Tahajjud alag alag hota to RasoolAllah dono padhte na ki sirf ek:

۩ Abu Zarr r.a. riwayat karte hai, "Hamne RasoolAllah ke sath roze rakhe, lekin unhone (raat ki) namaz nahi padhi jab tak ke Ramadan ki sat (7) raate nahi bachi. Fir unhone hamari imamat kari yaha tak ke ek tehai raat guzar gai, Fir unhone chathi raat ki namaz me hamari imamat nahi kari. Fir unhone panchwi raat hamari imamat kari yaha tak ke aadhi raat guzar gayi. Hamne daryaft kiya, "Ae Allah ke Rasool kya ap baaki raat ke hisse me hamari imamat nahi karenge". Unhone farmaya, "Jo shaks Imam ke sath Khada ho kar padhta hai jab tak Imam khatm na karde to Allah (uske aamal me) likhenge ki usne puri raat namaz me guzari.”; Fir unhone hamari imamat nahi karayi jab tak ke teen raat na bach gayi. Fir unhone teesri raat hamari imamat karyi aur unhone apne Gharwalo ko aur apne biwio ko hamare sath namaz padhne ko kaha itni der tak ke hame khatra mahsus hua ki kahi sahri ka waqt na khatm ho jaye."

Narrated by al-Tirmidhi- 806, Sunan Abu Daud- hadith-1275. Classed as Hasan Saheeh by Imam Tirmidhi and saheeh by al-Albaani.

Agar qayam e Ramadan ke alawa RasoolAllah ﷺ tahajjud bhi padha karte the to fir bataiye ki apne 27wi ramadan ko tahajjud kyu na padhi??

Malum hua ke maahe Ramadan me Tahajjud aur qayam e Ramadan alag alag nahi balki ek hi namaz hai. Sire se mankul hi nahi ki Aap ﷺ ne Ramadan ul mubarak ki kisi raat ko tahajjud aur qayam e Ramadan ka alag alag intezam kiya ho.
•٠•●●•٠•