Sawal:"Kya Tashahud main assalmu aleayka aiyyuhan nabi padha jayega ya assalamu Alannabi'? Kya ye sahih hain ki Nabi ﷺ ke maut ke Baad agar koi sakhsh Tashahudd main assalamu alaika aiyyuhan nabi kahta hain toh isse shirk ka khadsa hain aur hume iski bajaye assalamu alannabi kahna chahiye??"
Alhumadulillah mustaqal fatawa committee ke ulema e ikram se darze zail sawal kiya gaya..
1- Ibne Masud razi allahu anhuma ka bayan karte hain ki Meri hatheli Rasool ﷺ ki done hatheliyo ke Darmiyan thi toh aapne mujhe Tashahudd is tarha sikhayi jis tarha Quran ki koi surah sikhai jati hain"
التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ-
"(Meri Saari) Qauli Badani aur Maali Ibaadat Sirf Allah Ke Liye Khaas Hai. Aey Nabi Aap par Allah Ta’ala Ki Rahmat, Salamati aur Barkatei’n Ho’n aur Ham par aur Allah ke (Doosre) Nek Bando’n par (bhi) Salaamati ho, Main Gawahi Deta Hu’n ke Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi Hai aur Main Gawahi Deta Ho Ke Muhammad Allah Ke Bande Aur Rasool Hain.
Nabi ﷺ hamare darmiyan the aur jab fout ho gye toh Hum ye kahne lage, "Assalamu A’ala Annabiyyi."
Chunache bhot se log ye akhri ke alfaz kahte hain aur dusro ko bhi yahi kahne ka huqum dete hain kya ye sahih hain?
Mustaqil committee ke ulema ikram ka jawab tha, "Tashahudd ka tarika jo Rasul Allah ﷺ apni namaz main padha karte the aur apne Sahaba ikram ko uska hukum diya tha wo ye hain jo Sahih al Bukhari aur Sahih Muslim me Abdullah ibne Masud razi allahu anha ki darz Zail hadis main maujud hain.
Ibne Masud r.a. ka bayan karte hain ki Meri hatheli Rasool ﷺ ki done hatheliyo ke Darmiyan thi toh aapne mujhe Tashahudd is tarha sikhayi jis tarha Quran ki koi surah sikhai jati hain"
التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ-
"(Meri Saari) Qauli Badani aur Maali Ibaadat Sirf Allah Ke Liey Khaas Hai. Aey Nabi Aap par Allah Ta’ala Ki Rahmat, Salamati aur Barkatei’n Ho’n aur Ham par aur Allah ke (Doosre) Nek Bando’n par (bhi) Salaamati ho, Main Gawahi Deta Hu’n ke Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi Hai aur Main Gawahi Deta Ho Ke Muhammad Allah Ke Bande Aur Rasool Hain.
(Sahih al Bukhari: al Istezaan, hadith-6265)
Ye sabse Sahih tarika hain kyuki Rasool ﷺ ne apne Sahaba ikram ko yahi sikhaya aur ye nahi farmaya ke agar main fout Ho jau toh tum assalam alan nabi kahna.
Committee ke ulemao se ye bhi sawal kiya gya- Kya Tashahudd main assalamualeyeka aiyuhan nabiyu ka alfaz kaha jaye ke as salamu alay annabiyu kyuki Abdullah bin Masud razai Allahuanha bayan karte hain ki "RasoolAllah ﷺ ki wafat se qabl hum 'as salamu aleyeqa aiyuhan nabiyu kaha karte the aur Nabi karim ﷺ ki wafat ke baad ham Assalamu A’ala Annabiyyi ke alfaz ?
Committee ka jawab tha, "Sahih yahi hain ki namaz ko Tashahudd main assalamualeqa iyuhan nabiyu warahamatullahi wa barakatahu kahna chahiye kyuki hadis se yahi sabit hai lekin jo Abdullah bin Masud razi allahuanha se marwi hain agar ye unse sahih sabit ho jaye toh phir ye unka apna ijtihad hain, isey sahih sabit hadith muaariz nahi kiya jayega, aur agar Nabi ﷺ ki wafat ke baad iska hukum unki zindagi se mukhtalif hota toh RasoolAllah ﷺ isko bayan farma dete."
-Dekhye fatawa al-lajnah Ad-Daimah Li Buhuth Al-Ilmiyah wal Ifta (13- 11\ 7).
Sheikh ibn e Uthaymeen rahimullah ne is masle ki bhot hi azimo shan tauuzeh ki aur in alfaz main gaib ko pukarne wale ki nida ke shube ka dawa karne wale ka radd karte hue kaha hai.
Qaul: "as salamualeaika"
Kya ye khabar hain ya dua?
Yani kya aap ye khabar dey rahe hain ki Nabi ﷺ hain ya ki ye dua kar rahe ho ke Allah tala un par salamti bheje? Jawab ye dua hain aur aap ye dua kar rahe hain ki Allah tala un par salamati bheje chunache ye khabar dua ke mane main hain. Fir kya ye nabi ﷺ ko khitab hain jis tarha aam log ek dusre ko khitab karte hain?
Jawab: Nahi kyuki agar aesa hota toh isse namaz bhi batil ho jayegi kyuki namaz main kisi bhi aadmi aur sakhsh se kalam karna sahih nahi aur isliye bhi ke agar waqiyatan aesa hota toh Fir sahaba ikram rizwan ullah azmaein ye kalimat buland awaz se kahte taki Rasool ikram ﷺ sun lete aur unko salam ka jawab dete jis tarha un se mulakat karte waqt kiya karte thy.
Lekin jesa ki Sheikh ul Islam ibn Taymiya rahimullah tala ne apni kitab "Iqteda al siratul mustakim" main kaha hain, "Rasool e akram ﷺ par salam bhejte waqt Aap ka RasoolAllah ﷺ ko istehezar karne ki quwat is tarha hain goya ki aap unhe mukhatib kar rahy hain isiliye sahaba ikram assalamu aleyaka kaha karte the aur Rasul ﷺ sun bhi nahi rahe the aur wo assalamu alyka kahte halaki wo kisi ilaqe aur Nabi ﷺ kisi dusre ilake aur unke daur ke alawa kisi aur daur main hote the.
Aur Sahih al Bukhari main jo Abdullah bin Masud razi allahu anha se ye warid hain ke wo Rasool ﷺ ki wafat ke baad assalamu alian nabiyu warahamatullahi wabarakatahu kaha karte thy ye unka ijtihad hain jismain unse zada ilm rakhne wale Umar bin khattab razi allahu anha ne unki mukhalfat ki hai jesa ki Muatta Imam Malik main hain ke Umar bin khattab razi allahu anha ne logo ko mimbare Rasool ﷺ par khitab kiya aur Tashahudd main ye alfaz kahe, "assalamu aleka aiyuuhan nabiu warahamatullahi wabrakatahu" Iski sanad ishul isnaad hai fir Umar razi allahu tala anha ne sahaba ikram razi Allahu anha ki maujudgi main ye alafz kahe aur sahaba ikram ne iska iqrar kiya mukhalifat nahi ki.
Fir Rasool akram ﷺ ne apni ummat ko bhi sikhaya hatta ke jab RasoolAllah ﷺ ne Ibne Masood ko Tashahudd sikhayi toh unka haath Rasool ﷺ ke dono haatho ke darmiyan tha take wo ye alfaz yaad rakhey aur Nabi akram ﷺ unhe Tashahudd is taraha sikhaya karte the jis taraha Quran majeed ki koi surah sikhayi jati hain kyuki Rasool akram ﷺ ko ilm tha ki anqarib unhe mout aayegi isiliye Allah tala ne aapko farmaya tha (yakinan Aap bhi marne wala hain aur ye bhi marne wale hain ) az zumar (30).
Aur Rasool akram ﷺ ne ye nahi farmaya ke tum meri maut ke baad " assalamualeyka aiyuhan nabiyu kahna balki Tashahudd isi tarha sikhayi jese Quran majeed ki surah ki taaleem unhi alfaz ke saath di jati hain, isi liye Ibn Masood razi allahuanha ke ijtihad ki taraf dhyan nahi diya jayega balki as salamu alaika aiyuhan nabi hi kaha jayega.
Dekhye:Ash-Sharh al-Mumti', ( 3\150-151).
•٠•●●•٠•
Post a Comment