Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Websites Par Ishteharaat (Ads) Lagane Ka Bayan


Alhamdulillaah..

Bunyadi Usool yahi hai ke is Tasheeri (advertising) program me ishtiraak hasil karna jayz hai jab tak ke jin websites ka aelaan kiya jata hai in me kisi qism ka haram kaam par ta’awun shamil na ho; Kyu ke gunahon ke liye Tasheeri muhim, aur us ke liye mu’aawenat pesh karna jayaz nahi hai.

Is baare me Farman e Bari Ta’ala Hai,

وَتَعَاوَنُوا عَلَى الْبِرِّ وَالتَّقْوَى وَلا تَعَاوَنُوا عَلَى الْإثْمِ وَالْعُدْوَانِ وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ

Tarjuma: Neki aur Taqwa ke kaamo me ek dusre ka ta’aawun karo, gunah aur zyadati ke kaamon me ek dusre ka ta’aawun mat karo, aur Allaah se daro, beshak Allaah Ta’ala sakht aazaab dene wala hai.

[Al-Maidah:2].

Aise hi Aap ﷺ ka farman hai ke, “Jo shakhs Neki ki daawat dega, ise Neki karne wale ke barabar sawaab milega, aur is tarah dono mai se kisi ka bhi sawaab kam nahi hoga, aur jo shakhs Gumrahi ki dawat dega, ise Gumarahi par chalne wale ke barabar gunah milega, aur is se kisi ke gunah me kami bhi nahi aayegi.”

Sahih Muslim, Hadith-4831.

Agar Ishteharaat halal hai to isme koi harj nahi hoga. Is ke liye hame itna khayal zarur ho ki shari’at ke khilaf aelanat ko roka jaye aur agar ham aesa na kar sake to is amal se dur ho jaye kyu ke fir ham haraam kamon ki tarweej mein shareek ho jayenge.

Wallahu Tala’ Àalam

•٠•●●•٠•

Allaah Ta'ala se dua hai ke wo hame apne khaas fazal se rizq inayat farmayein.

Post a Comment