اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jan 2018

Witr Ke Baad Ke Nawafil- Ek Ilmi Baat


۩ Agarche baaz riwayaat me witr ko Raat ki aakhri namaz qarar diya gaya hai Jaisa ke Hazrat Ibn e Umar r.a. se marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya, “Witr ko apni Raat ki aakhri namaz banao.”

Sahih al Bukhari, kitab al witr ﴾14﴿, hadith- 998.

Lekin darj zel sahih hadeeth se maloom hota hai ke ye hukm mahez istehjaab ke liye hai matlab mustahab hai lekin farz nahi hai aur Aap ﷺ Witr ke baad bhi do rakaat ada farma liya karte the.

۩ Hazrat Umm e Salma ra. se marwi hai ke “Rasool ﷺ Witr ke baad 2 rakaatein padha karte the.”

Tirmidhi, hadith- 292, Sunan Ibn Majah, hadith- 1195.

Is liye agar koi shakhs Witr padh kar sojaye phir ke pichle peher uth kar Nawafil ada kare to wo aakhir me dubaara Witr nahi padhega kyu ki Hazrat Talq ibn Ali se marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya, "Ek raat me do Witr nahi hai".

Tirmidhi, hadith- 470, Sunan Abu Dawood, hadith- 1439, Sanad Sahih.

۩ Imam Ahmed, Imam Shafaee, Imam Maalik, Imam Suri, Imam Ibn e Mubarak Aur Imam Ibn e Hazam ka yahi waqf hai aur yahi raajeh aur hai.

Tohfa al hauzi # 588/2, neel ul awtaar # 259/2, almahli bil aathaar # 91/2.

•٠•●●•٠•

RELATED ARTICLES:

۩ TAHAJJUD PADHNE KA TARIKA - https://www.iqrakitab.com/2017/12/tahajjud-aur-witr-padhne-ka-tareeka.html