Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Zakat Ke Maali Saal Ke Dauraan Hasil Hone Wale Maal Ki Zakat


Sawal: Zakat ke liye mo'atabar maal nisaab pura hone ke waqt wala maal hoga ya ek saal guzarne ke baad maujood maal mo'atabar hoga? Ya'ani agar nisaab pura hone ke waqt maal ki miqdaar 10000 thi aur ek saal guzarne ke baad maal ki miqdaar 50000 hogayi to ab in dono maal se kounsa maal zakat nikalne ke liye mo'atabar hoga?

Alhamdulillah..

Naqdi noto me zakat wajib hone ke liye do cheezo ka hona shart hai:

Pahli baat: Nisaab ke barabar ho.

Duwwam: Nisaab ke barabar Raqam par ek saal guzar jaye.

Chunanche agar maal nisaab se kam ho, to us me zakat wajib nahi hai. Chunache agar maal Naisaab ke barabar ho aur us par ek Qamri(hijri) saal bhi guzar jaye to us waqt us par Zakat waajib hogi.

Aur Nisaab ye hai ke, naqdi raqm 85gm Sona, ya 595gm Chandi ke barabar ho.

Is Nisaab ki Zakat ada karne ke liye chaliswa hissa yaani 2.5% dena zaruri hai.

Dusri baat:

1000 ki Miqdaar me maal Nisaab ke barabar hojaye aur fir saal mukammal hone tak ye maal badh kar 5000 hojaye to is ki zakat kaise dega?

Is me kuch Tafseel hai:

۩1. Agar ye Izafa, Asal (ra'asul maal) ke Nafe ki wajah se hua hai, ya'ani 1000 ki sarmaya kaari ki hui thi, to is me 4000 ka munafa hua toh use saal ke Aakhir me saare maal ki zakat Deni hogi kyunke Nafaa, Asal ke ta'abe hota hai.

۩2. Aur agar ye izafaa Asal maal ki wajah se nahi hua balke Wirasat, Tohfa ya kisi cheez ke faroqht karne ki waja se ya phir kisi aur tareeqe se aaya hai to us ki Zakat ke liye alag saal shumar hoga jo ke is Izaafi maal ke, Apke milkiyat me aane se shuru hoga, aur agar Aap is izaafi maal ki zakat pahle wale 1000 ke saath dena chahe to ye Ap ki taraf se is izafi maal ki zakat advance ada hojayegi jis me koi harj wali baat nahi hai.

۩3. Basa'auqaat Izaafa hone wala maal batadreej haasil hota hai, maslan", Insan ki bachat se ye izafa hua, har maah 500 bachaye, to saal ke aakhir tak uske paas 4000 hogaye, to is Surat me aap ko ikhtiyaar hai ke Ap saare maal ki ikhatti zakat ada kare.

To is Surat me Ap us raqam ki zakat waqt se pehle ada kar denge, jis par abhi ek saal nahi guzra, aur agar har maah hasil hone wale maal ke liye alag se saal shumar karte hai to ye bhi jayez hai lekin is me Ap ko hisab rakhne me mashaqqat hogi, kyunke is tarah se aapko saal me kai baar zakat ada karni padegi.

Wallahu Aalam.

source:- Islamqa

Post a Comment