Sawal
Jab Mard ne Qurbani karni ho to kya us ki biwi aur bachho ke liye Zul Hijjah ka chand nazar aane ke bad apne baal aur nakhun wagera katnay jaiz hai?
Alhamdulillah..
Jii han aisa karna jaiz hai. Qurbani karne wala shaks ke liye apna baal or nakun ya jism ke kisi bhi hisse se kuch katna haraam hai aur ye hukm sirf Qurbani karny wale ke sath khas hai jis nay Qurbani karni ho.
Aap is ki tafseel yahan dekh sakte hain
Sheikh Ibn Baaz rahimahullahu tala ka kahna hai,
Aur qurbani karny wale ke ahl o ayal par kuch nahi, aur Ulma e karaam ke sahih qaul ke mutabiq inhen baal aur nakhun katna mana nahi kiya jayega. Balkay yeh hukm toh sirf Qurbani karne wale ke sath khas hai jis ne apne maal mai se Qurbani khareedi hai.
Fataawa Islamiyyah, 2/316.
Aur,
Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (11/397) ke fatwe me hai ki,
Jo shaks Qurbani karna chahe is ke haq me ye mashroo hai ke wo Zu’l-Hijjah ka chand nazar aane ke baad apne baal aur nakhun, apne jism ke kisi hisse se koi cheez na le (nikale), Is ki dalail Imam Bukhari r.h. ke alawa Muhaddiseen ki ek jamaat ki riwayat karda Hadith hai:
Umme Salama r.a. bayan karti hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya, "Jab tum Zu’l-Hijjah ka chand dekh lo aur tum me se koi ek Qurbani karne ka irada rakhta ho to wo apne baloo aur nakhun (ke katnay) say ruk jaye.
Sunan Abu Dawood, Hadith No. 2791 ; Sahih Muslim Hadith No. 1977.
Chahe wo Qurbani khud apnay hath say zabah kare yah fir isay zabah karne aur kisi ko wakeel banaye, lekin jis ki janib se zabah kiya ja raha hai us ke haq mein mashroo nahi, kyun ke is mein koi cheez warid nahi.
Wallahu alam.
•٠•●●•٠•
Post a Comment