Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Feb 2018

Bachhon ki Taleem Wa Tarbiyat ka Sahih Tareeqa Kaun sa hai ?


Sawal : Mai apne Das saal se chhootey Bhaiyon ki kis tarha Tarbiyat karun ke bade ho kar bhi Deendar rahen aur is ke liye kya Tareeqa apnana chahiye?

Alhmdulillah..

Hum Aap ko nasihat karenge ke inhe Quran e Majeed, Sahih ahadees e Nabawi aur un me maujood Islami akhlaqiyat ki tarbiyat den, Inhen Neki, Sila rahmi (rishtedari nibhana), Sachhai aur Amanat-dari wagaira par mushtamil aala akhlaqi akdaar ki aadat dalain. Un se Namaz ba-jamaat ki pabandi karwaen, Isi tarha khane peene aur baat karne wagaira ke mutalliq bhi Islami aadaab sikhaye, chunanche agar Ap ke bhai in akhlaqiaat aur aadaab par bade hote hain, aur Allah ke hukum se isi par qayam rahtay hain, aur un ki zindagi ke shab wa roz isi par guzarte hain to is se inhen bhi faida hoga aur Ap ko bhi iska ajar milega.

From Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 12/261-262.

Allah se dua hai ki wo hame taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

۩ English  ۩ Urdu  ۩ Hindi

Post a Comment