Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

16 Feb 2018

Haq Ki Maut - Mohar e Nabawi

hi  -
Ham har Namaz me Allah se ye dua karte hai ki Ae Allah hame sidha rasta dikha, wo rasta jis par tu ne inaam farmaya hai na ki wo rasta jis par tu ne saza muqarrar kiya hai [Surah Fatiha ayat 6-7]. Har namaz me ye dua padhna khud bata raha hai ki sidhe raste par chalne ki kya ahmiyat hai hamare Deen me. Sidhe raste par chalna hi haq par chalna hai. Lekin ye bhi boht aham hai ki hamari maut haq par aye.

Pichle kuch articles me maine tafseel se bataya tha ki haq par kaise chala jaye aur Haq ka safar kaise tay kiya jaye. Ab is article me mai is baat par roshni dalna chahunga ki haq ki maut kya hoti hai aur RasoolAllah ﷺ ne hame is ke bareme kya bataya hai aur sahaba e karaam ne is par amal kaise karke dikhaya hai.

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْحَكَمِ بْنِ أَبِي زِيَادٍ، حَدَّثَنَا سَيَّارٌ، حَدَّثَنَا جَعْفَرٌ، عَنْ ثَابِتٍ، عَنْ أَنَسٍ، ‏:‏ أَنَّ النَّبِيَّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ دَخَلَ عَلَى شَابٍّ وَهُوَ فِي الْمَوْتِ فَقَالَ ‏:‏ ‏"‏ كَيْفَ تَجِدُكَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ ‏:‏ أَرْجُو اللَّهَ يَا رَسُولَ اللَّهِ وَأَخَافُ ذُنُوبِي ‏.‏ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ‏:‏ ‏"‏ لاَ يَجْتَمِعَانِ فِي قَلْبِ عَبْدٍ فِي مِثْلِ هَذَا الْمَوْطِنِ إِلاَّ أَعْطَاهُ اللَّهُ مَا يَرْجُو وَآمَنَهُ مِمَّا يَخَافُ ‏"‏ ‏.‏

۩ Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ek jawan ladke ke pas tashreef farma hue jo Maut ki halat me tha. RasoolAllah ﷺ ne us ladke se farmaya, “Tumhe kaisa lag raha hai?”
Unhone kaha, “Ae Allah ke Rasool, Mujhe Allah par Ummeed hai lekin mai apne gunaho se darta hu”. 
RasoolAllah ﷺ ne Farmaya, “Ye do chiz (Ummeed aur Khauf) is surat e haal me ek shaks ke dil me nahi rahta lekin ye ki Allah use ata kar dega jiski wo ummeed karta hai aur use mahfooz rakhega us chiz se jisse wo Khauf me hai.”

Sunan Ibn Majah, Kitabul Zuhd, Vol. 5, Book 37, Hadith 4261. Classed as Hasan by Sheikh Zubair Ali Zai r.h.

Gaur kare ! Ye sahabi ne ye nahi kaha ki Ae Allah ke Rasool Mai Haq pe hu, firqa e Najia se hu, Mai to apki sohbat me raha, Quran me Allah ne gawahi di hai ki Allah Mujh se raazi, mai Allah se raazi, lekin Nahiii!!! Khauf aur ummeed ke bich ke maut par jo mara wo haq par mara.  SubhanAllah bade bade sahaba ne aesa nahi kaha ki mai Jannat me jaunga balki ummeed hamesha ki ke Allah Jannat de aur Jahannam se najaat de. Aur ek ham log hai jo itne gunahgar hokar bhi Jannati ya Firqa e Najia ka self made certificate lekar ghum rahe hai. Toh ye haq ki maut hai ki ham Allah se khuaf kare aur sath sath Allah se ummeed bhi rakhe.

Ab aiye dekhte hai ki is hadith par sahaba e karaam ne kaise amal kar ke dikhaya:

Umar r.a. ki wafat ke waqt ka bayan:

Amr bin Maimun r.a. riwayat karte hai, [Umar bin Khattab r.a. Ke wafat ke waqt, jab Umar r.a. zakhmi halat me the] Ek naujawan Umar r.a. ke paas aaya aur kahne laga, Ae Ameer ul Momineen!  Allah taala ki taraf se Ap ko khushkhabri ho. Ap ne RasoolAllah ﷺ ki sohbat uthai. Ibtida mein Islam laane ka Sharf haasil kiya jo ki Ap ko maloom hai. Fir Ap khalifa banaye gaye aur Ap ne poore insaaf se hukoomat kiya, Fir Shahadat payi. 
Ye sun kar Umar r.a. ne farmaya, "(Dekho aesa mat kaho) Mere In Aamaal Ke Wajah Se Qayamat Ke Din Mere Naam e Aamaal Agar Barabar Bhi Ho Gaya To Mere Liye Ye Kafi Hoga."

Sahih al-Bukhari, Kitab Fazail Ashaab an-Nabi ﷺ, Hadith no: 3700.

Rough translation from a summary of a long Hadith. (read full hadith).

SubhanAllah !!! Andaza lagaiye Ameer ul Mominee Umar ibn Khattab r.a. jiske bareme RasoolAllah ﷺ ka farman hai ki mere baad agar koi Nabi hota to wo Umar hota (at-Tirmidhi (3686)), jinke talluq se RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki Jis gali se Umar r.a. guzarte hai us gali se shaitan bhag jata hai (Sahih Bukhari 5735). Wo shaks khud kah raha hai ki agar mere aamaal barabar bhi ho jaye to kaafi hai. 

Toh hamara bhi yahi akhlaq hona chaiye ki ham badi se badi neki karne ke baad bhi zameen par hi rahe, aasman me udne na lag jaye. Yahi tarika behtar hai aur isi tarike ki taaleem hame Rasoolallah ﷺ ne diya hai aur isi tarike par sahaba e karaam ne amal kar ke dikhaya hai. Hame bhi chaiye ki ham Allah se Darte rahe aur Usse Ummeed karte rahe lekin kabhi taqabbur ya tassub me na shamil ho ki hamare pas boht ilm hai ya hamare amal boht zyada hai. Toh jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne khud wazahat kiya, Ek Musalman ko Allah ke khauf aur Allah se ummeed me zindagi basar karni chaiye, yahi sidha rasta hai. 

Allah hamari maut khauf aur Ummeed ke darmiyan ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: Haq Ka Safar

Post a Comment