اقرأ باسم ربك الذي خلق

16 Feb 2018

Kya Banks Ka Sood Gareebo Ko Dena Jayz Hai ?


Kya hamare liye jaiz hai ki Banko ka sood kisi mohtaaj aur zarurtmand shakhs ko de-den ?

Alhamdulillah..

Agar to koi aisa shakhs hai jo soodi lain-den karta tha aur ab Tauba karne ke baad sood ke zarye haasil karda maal se chutkara haasil karna chahta hai to is se chutkara haasil karne ke liye kisi Gareeb ko diya ja sakta hai, aur isi tarha agar bank ne is ke account mein sood ki kuch raqam rakh di ho to use bhi Gareeb ko de dein, Lekin yeh sadaqa shumaar nahi ho ga, kyuki Allah subhana wa tala pakiza hai aur pakiza cheez hi qubool farmata hai.

Lekin soodi lain-den karte rahna jaiz nahi balke ye kabira gunah hai, aur sood lene wala Allah ta'la aur us ke Rasool ﷺ ka dushman hai, hatta ke agar woh Gareeb ko dene ke liye bhi sood leta ho.

Wallaho aalam.

[Fatawa of Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid, source]

•٠•●●•٠•

۩ English    ۩ Urdu    ۩ Hindi
Faisal Khan said...

Mere Mutabik Upar zikr karda sood ko Mohtaajo ya Gareebo ko dena hi sabse acha aur logical hai normally. Lekin isse sawab ki ummeed na lagayi jaye kyuki ye haraam ka rakam hai aur agar Allah ne sawab de hi diya is amal par to koi rok nahi sakta use.