Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

16 Mar 2018

Juma Ki Namaz Me Teen Tarah Ke Logo Ka Aana


۞ Abdullah ibn Amr ibn al-'As r.a. riwayat karte hai ki RasoollAllah ﷺ ne farmaya Juma' ki Namaz me mein teen (3) tarha ke log aatey hain; Ek toh woh jo waha aakar behuda kaam (baat) kare, uska hissa yahi hai (yani usko kuch sawab na milega). Aur dusra wo hai jo wahan aakar Allah azzawajal se dua kare agar Allah chahega to uski dua qubul karega aur chahega to nahi karega. Aur teesra wo hai jo wahan aakar khamoshi se baith jaye, na logon ki gardanein faand kar (over the neck) aage badhe aur na kisi ko takleef pohchaye to uska ye Amal is Juma se lekar agli juma tak balki aur teen zyada din ke liye gunaahon ka kaffara ban jayega, kyunki Allah azzawajal ka irshaad hai ki jo shaksh ek neki karta hai usko 10 guna sawab milega.

Sunan Abu Dawud, hadith-1113 . Classed as Hasan by Shaykh Albani.

Is hadith se hame wo chiz sikhne ko mili hai jo hamare muashre me boht aam hai. Hamare masjid ke muqtadi aksar dusro ko faand kar aage jaate hai is chiz ki parwah kiye bagair ki logo ko isse takleef hoti hai. Aur aksar to ye dekha jata hai ki hamare Imam sahab bhi is par nahi tokte hai.

۞ Masjid me Do Aadmiyon Ke Darmiyan Judayi Dalna Se Bhi RasoolAllah ﷺ ne Mana Farmaya Hai :

Salman Farsi r.a. se riwayat hai, Unhone kaha ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs jumu’ah ke din ghusl kare aur jis qadr mumkin ho safayi karke tel lagaye ya khushboo istemaal kare, phir Namaz-e-jumu’ah ke liye aaye aur do aadmiyon ke darmiyan tafreeq na kare, phir jitni Namaz uski qismat me ho adaa kare aur jab imaam khutba dene lage to khamosh rahe to uske wo gunah jo is jumu’ah se sabqah jumu’ah ke darmiyaan huye ho sab maaf kar diye jayenge.”

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-910.

۞ Masjid me Kisi Shaks Ko Utha Kar Khud Uski Jagah Baithne Se Bhi RasoolAllah ne Mana Farmaya Hai :

Ibne Umar r.a. se riwayat hai, Unhone kaha: Nabi ﷺ ne mana’a farmaya hai ke koi shakhs apne bhai ko uski jagah se utha kar khud wahan baith jaye. Raawi kahte hai ke maine Hazrat Naaf’e se daryaft kiya ke Kya ye hukm jumu’ah ke liye khaas hai? Unhone kaha: Jumu’ah aur Ghair Jumu’ah dono ke liye yahi hukm hai.

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-911.

Allah se dua hai ki wo hame is taaleem ko dusro tak pochane ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•