Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

10 Jun 2018

Azaan aur Iqamat Ke Masael


۩ Har namaz ke waqt azan deni chahiye. Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab namaz ka waqt aaye to tum mein se koi ek azan kaho. Aur tum mein se bada imaamat karaye.’

Sahih al Bukhair: al Azan, hadith- 628. Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 674.

۩ Bilal r.a. Azan kahte hue kano’n mein ungliya’n daalte the.

Sahih al Bukhair: al Azan, hadith- 198.

۩ Bilal r.a. Haiyya A’alas Salah kahte hue mu’n apna chehra daey’n  (T: towards right side)  ferte the aur Haiyya A’alal Falah kahte waqt baey’n  (T: towards left side) ferte the.

Sahih al Bukhari: al Azan 634. Sahih Muslim: al Salah, hadith- 503. 

۩ Usman bin Abil A’aas r.a. ki riwayat hai ke Nabi e Akram ﷺ ne inko inki kaum ka Imam muqarrar kiya aur farmaya: ‘Muazzin wo muqarrar kar jo azan par mazdoori na le.’

Sunan Abu Dawood: al Salah, hadith- 531. Jamia Tirmizi: al Salah, hadith- 209. Ise Imam Haakim Vol-1 P-199 & 201 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۩ Muazzin wo muqarrar karna chahiye jo buland awaaz wala ho. Abdullah bin Zaid r.a. kahte hain ke Rasool Allah ﷺ ne inhei’n farmaya:  Bilal ko azan sikhao kyou’nke uska awaz tumse buland hai.

Sunan Abu Dawood: hadith- 499. Jamia Tirmizi: hadith-189.

‐ Ek Sahaabiya r.a. farmati hain ke masjid ke kareeb tamam gharo’n se mera makan uncha tha aur Bilal r.a. is (makan) par (khade hokar) Fajr ki azan dete the.

Sunan Abu Dawood: as Salah, hadith- 519. Imam Ibn e Hajar ne Hasan kaha

۩ Abdullah ibn Amr ibn al-'As: r.a. riwayat karte haink ke Rasool Allah ﷺ ne ek admi ko farmaya: ‘Jaise muazzin kahta hai tum bhi isi tarha jawab do fir jab tum jawab se faarig ho jaao to (dua) maango aur wo tumhe diya jaaega.’

Sunan Abu Dawood: as Salah, hadith- 524. Ise Imam ibn e Hibban ne Saheeh kaha.

۩ Beemariyo’n aur wabaa ke mauqe par log ghar ghar azanei’n dete hain ye sunnat se saabit nahi. Kyou’nke is silsile mein pesh ki jaane wali tamam riwayat usool e Muhaddiseen par thik nahi hai.

۩ Assalatu Khairum Minan Naum ke alfaz siwae Fajr ke kisi aur azan mein nahi kahne chahiye.

۩ Iqaamat, Azan ke fauran ba’ad nahi honi chahiye, kyou’nke Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya ke ‘Azan aur Takbeer (Iqamat) ke darmiyan nawafil namaz hai. Aap ne 3 baar ye kalimat kahe fir farmaya: Jiska dil chaahe (namaz padhe).’  

Sahih al Bukhari: al Azan 623. Sahih Muslim: Salatul Musafireen, hadith- 838.

۩ Subha saadiq hone se kuch der pahle bhi ek Azan hai. Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Tumhei’n Bilal ki Azan sehri khane se na roke kyou’nke wo raat ko azan dete hain taake tahajjud padhne wala laut aaye aur sone wala khabardar ho jaae.’  

Sahih al Bukhari: al Azan, hadith- 621.  Sahih Muslim: as Siyaam, hadith- 1093.

۩ Is Azan aur namaz e Fajr ki azan mein itna waqfa nahi hota tha jitna ke aajkal kiya jata hai. Abdullah bin Umar r.a. farmate hai: "Dono’n Muazzino’n ke darmiyan sirf is kadr waqfa hota tha ke ek azan dekar utarta aur dusra Azan ke liye chadh jaata.

Sahih Muslim: hadith-1092.

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Jab Iqamat ho jaye to farz namaz ke alawa koi namaz nahi hoti.’ 

Sahih Muslim: Salatul Musafireen, hadith-710.

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Jab Iqamat kahi jaaye to saf mein shamil hone ke liye na bhago balke Aaram se chalte hue aao, jo namaz tum (Imam ke sath) paalo wo padhlo aur jo rah jaye ise baad mein pura karlo.

Sahih al Bukhari: al Azan, hadith- 636. Sahih Muslim, hadith-602.

۩ Hameed riwayat karte hain ke maine Saabit Banaani se poocha: Kya namaz ki iqamat ho jane ke baad Imam batei’n kar sakta hai? To inho’n ne mujhe Anas bin Malik r.a. ki hadees bayan ki ke ek martaba namaz ki iqamat ho chuki thi, itne me ek shaqs aaya aur Nabi e Rahmat ﷺ se baatei’n karta raha.

Sahih al Bukhari: al Azan, hadith- 643. Sahih Muslim, hadith-376. 

۩ Ek dafa namaz ki iqamat hogai, logo’n ne safei’n baraabar kar lei’n, itne mein RasoolAllah ﷺ ko yaad aaya ke aap Jumbi hain, Aap ne logo’n se kaha, apni jagah khade raho. Fir Aap ne (ghar jaakar) ghusl farmaya aur jab Aap wapas tashreef laaye to Aapke sar se paani tapak raha tha, fir Aapne namaz padhi.

Sahih al Bukhari: al Azan, hadith- 640. Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 605.

movie world said...

assalam alykum

bro iqamat ka jo masla hai ki {qado-ka matis-sala} me khada hona chaye uske ek likhe na refference ke sath ,,,,

Faisal Khan said...

wa alaykum assalaam warahmatullah

is link ko chq kare ap: https://www.iqrakitab.com/2018/10/farz-namaz-ki-iqamat-ke-waqt-muqtadi-ko-Kab-Khada-Hona-Chahiye.html

Post a Comment