Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

21 Jun 2018

Bachha Paida Hone Ke Istaqbal Me Islami Umoor


Contents

1) HONE WALE BACCHE KE LIYE SALAMTI, AFIYAT AUR HIDAYAT KI DUA KARNA

2) BACCHE KO TAHNEEK KARNA AUR USKE LIYE DUAE KARNA

3) PAHLE DIN YA SAATWE DIN BACHHE KA NAAM RAKHNA 

4) KHATNAH KARANA

5) BACHHE KA SAR (HEAD) MUNDNA AUR USKE SAR PAR ZAFRAN SE MALNA

6) BACHHE KE KAAN ME AZAAN DENA

7) AQEEQAH KARNA
_________________________________________________________________________

1۞ HONE WALE BACCHE KE LIYE SALAMTI, AFIYAT AUR HIDAYAT KI DUA KARNA

Hamare Ilm ke mutabiq wiladat honae wale bachhe ke istaqbaal ki tayari mein koi aisa shari amal nahi hai jo is ki paidaish se ek ya do roz ya is se zyada aur kam din pahle kiye jaaye, siwaye iske ki achhi aur aam duayen ki jayen, maslan bachhae ki salamti aur aafiat ke sath paidaish aur is ki hidayat ki dua karna.

Allah Subhana o Taa'la ne Nek aur Saleh Imran ki Biwi ki Duae Zikr ki hai, jab Imran ki Biwi kahne Lagi :

"Jab Imran Ki Biwi Ne Kaha Ke Aye Mere Rab! Mere Pet Me Jo Kuch Hai Use Mai Ne Tere Naam Aazad Karne Ki Nazar Maani, Tu Meri Taraf Se Qubool Farma! Yaqinan Tu Khoob Sunne Wala Aur Puri Tarah Jaanne Wala Hai.

Jab Bacchi Ko Jana, To Kahne Lagi Ke Parwardigaar! Mujhe To Ladki Hui, Allah Ko Khoob Maloom Hai Ke Kya Aulaad Hui Hai, Aur Ladka, Ladki Jaisa Nahi, Mai Ne Us Ka Naam Maryam Rakha, Mai Use Aur Us Ki Aulaad Ko Shaitaan Mardood Se Teri Panaah Me Deti Hu."

Surah Aal ‘Imraan (3), Ayat-35-36.
__________________________________________________________________________

2۞ BACCHE KO TAHNEEK KARNA AUR USKE LIYE DUAE KARNA

Bachhe Par Tahnik Karna (Yaani Khujur khud chaba kar uska ras bachay ko chatana) aur is ke liye khair aur Barkat ki dua karna .

Abu Moosa r.a. bayan karte hain ki mere yaha ladka paida hua to mai use le kar Nabi ﷺ ki khidmat mein haazir hua. Aap ﷺ ne is ka naam Ibrahim rakha aur khajur ko apne daant mubarak se naram kar ke use chataya aur is ke liye khair aur Barkat ki dua ki fir (bachhe ko) mujhe de diya. 

Sahih al Bukhari, Kitab Al Aqiqah, Hadith-5467 ; Sahih Muslim, Hadith- 2145.

Note: Tahneek Rasool ﷺ ke zamane ka ek rasm tha jisme paida hue bachhe ko Khujoor ya shahad ya kuch mithe chiz ka ras bachhe ko chataya jata tha. Aur ye koi nek shaks karta tha yaani wo nek shaks us chiz ko chaba kar us ka ras bachhe ko chatata tha.
__________________________________________________________________________

3) PAHLE DIN YA SAATWE DIN BACHHE KA NAAM RAKHNA

Anas bin Malik r.a. bayan karte hain ki Rasool ﷺ ne farmay, "Mere yaha ek Raat beta paida hua tha, jis ka naam mai ne apne Baap ke naam par Ibraheem rakha tha."

Sahih Muslim, Hadith- 3126.

Aisha r.a. bayan karti hain ki, "Rasool ﷺ ne Hasan aur Hussain r.a. ki janib se saatwe roz Aqiqah kiya aur un ka naam rakha."

Narrated by Ibn Hibbaan, 12/127; al-Haakim, 4/264. Classed as saheeh by al-Haafiz Ibn Hajar in Fath al-Baari, 9/589.
__________________________________________________________________________

4۞ KHATNAH KARANA

Khatnah karana ye fitrati sunnato me shaamil hai, aur ye bachhe ke liye wajibat (Farz) me shaamil hota hai Aur Khatnah karne se behtar Taharat hasil karne me madad hasil hoti hai.

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Paanch chize Fitrat me shamil hain : “Khatnah karana (circumcision), zair e naaf baal mundna (removing the pubic hairs), Bagalo ke baal ukhedna (plucking the armpit hairs), naakhun kaatna (cutting the nails), aur munchen katarna (trimming the moustache).” 

Narrated by al-Bukhaari, Hadith-5550; Sahih Muslim, Hadith-257.

۝ Khatne Ka Waqt

Hamare Ilm Me RasoolAllah ya kisi sahaba se Khatne ka koi khas muqarrar waqt sabit nahi hai. Ek Hadith milti bhi hai is masle me lekin us hadith ko hamare Muhaddiseeno ne sehat ke aetebar se qubul nahi kiya (Yaani wo hadith sahih nahi hai). 

Imam Baihaqi r.h. ne Jabir r.a. se bayan kiya hai ke Rasool ﷺ ne Hasan aur Hussain r.a. Aqiqah aur Khatnah saatwe roz (7th day) kiya.

Sunan Bayhaqi, 8/324.


Lekin is hadith ko boht saare Muhaddiseeno ne Zaif karar diya hai jaise Ibn Adi, Haythami, Sheikh Albani wagaira. [Dekhe: Irwa’ al-Ghaleel, 4/383 by Shaykh Albani. ]

۩ Imam Nawawi kahte hai, "Bachhe ke sarbarah (parent) ke liye ye behtar hai ki bachpan mein hi bachhe ka khatnah kar diya jaye kyuki is me bachhe ke liye zyada aaraam aur shafqat hai."

Al-Majmoo’, 1/351.

۩ Shaykh Ibn Taymiyah kahte hai, "Raha khatna karne ka masla to khatna jab chahe kiya ja sakta hai, Lekin jab bachha balig umar ke kareeb pahonch jaye to bachce ka khatna zaroor kar dena chahiye jaisa ke Arab log kiya karte the, taa keh woh bagair khatna kiye hi baalig na ho jaye."

Al-Fataawa al-Kubra, 1/275.
___________________________________________________________________________ 

5۞ BACHHE KA SAR (HEAD) MUNDNA AUR USKE SAR PAR ZAFRAN SE MALNA

Bachhe ka sar mundana aur fir is ke sar par zafran se malna, is mein azeem fayde hain, fir baalon ke barabar sona ya chandi sadqa karna, is me ye shart nahi ke balon ka wazan zarur hi kiya jaye. Agar ye mushkil ho toh sone ya chandi ki qeemat jo balon ke wazan ke (andaazan) barabar ho sadaqa kiya jaye.

۩ Buraydah ibn al-Hasib r.a. riwayat karte hai, "Hazrat Buraydah r.a. bayaan karte hain ke Daur e Jaahiliyat me jab hamare yahan kisi ko bachha paida hota to wo 1 bakra zibah karke uska khoon bachhe ke sar (head) par malta aur jab Allah ta'ala ne hame Islam ata kiya, Toh ham Bakra zibah karte aur bachhe ka sar (head) mundwaate aur bachhe ke sar (head) par zaafraan (saffron) malte the."

Narrated by Abu Dawood, 2843; classed as Hasan saheeh by Shaykh al-Albaani in Saheeh Abi Dawood.

Note: Zaafraan ek kism ki khushbu hai.

۩ Muhammad bin 'Ali bin Al-Husain riwayat karte hai ki Ali bin Abi Talib r.a. ne farmaya ki RasoolAllah ﷺ ne Hasan r.a. ka Aqiqah ek Bhed (sheep) se kiya, aur kaha: 'Aye Fatima! Iska sar mundao aur iske baal ke wazan ki chandi ko sadaqa kardo. Isliye maine baal ko taula toh uska wazan ek dirham ke barabar ya usse kuch kam hua tha.

Jamia Tirmidhi, The Book on Sacrifices, Hadith- 1519. Classed as Hasan by Sheikh Zubair Ali Zai.
__________________________________________________________________________ 

6۞ BACHHE KE KAAN ME AZAAN DENA

Ulema e Karaam ne bachhe ke kaan me Azaan dene ko sunnat kaha hai, taa keh jab duniya me wo aye aur uske kaan khule to sabse pahle wo Tawheed ke kalime ko sune aur iska boht hi azeem aur Mubarak asar padega in shaa Allah. Lekin baaye kaan me Iqamat kahne ka koi subut nahi hai, naa hi Kitab wa Sunnat se aur na hi Ijma e Ummat se. [Dekhe Silsilat al-Da’eefah, 1/491].

Paida hue bacche ke kaan me Azaan dena ka subut na hi hame Allah ki kitab me milti hai aur na hi RasoolAllah ke sunnat me ya Aap ﷺ ke kisi hadees me milti hai. LEKIN HADITH KE NA HONE KE BAWUJUD UMMAT KA IJMAH HAI KI PAIDA HUE BACHHE KE KAAN ME AZAAN DENA MUSTAHAB AMAL HAI.

Iski Tafseel (details) ke liye ye article padhen : https://www.iqrakitab.com/2018/06/paida-hue-bachhe-ke-kaan-me-azaan-dena.html
__________________________________________________________________________

7۞ AQEEQAH KARNA

Aqeeqah ki Tafseel niche di hui link me bayan ki gai hai:

https://www.iqrakitab.com/2018/03/aqeeqah.html

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki woh hame aur hamari aulaad ko har shar aur burai se hifazat farmaye aur hamein duniya aur akhirat mein aafiat se nawaaze . aameen.
Tausiqu said...

A very good and informative article

Post a Comment