Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Jun 2018

Dua Ke Baad Hatho Ko Chehre Par Pherna


Dua ke baad chehre par hath ferne me koi harj nahi hai. Kuch log khas taur par Ulema e Arab ise biddat kahte hai lekin unki ye raaye thik nahi hai kyuki hame Hadeeso ki kitab me is amal ka subut milta hai:

۩ Abu Nuaym Wahb ibn Kaysan bayan karte hai, “Maine dekha ki Abdullah ibn Umar r.a. aur Abdullah bin Zubair r.a. Dua ke baad hatheliyo ko chehre par fer liya karte the.”

Al Adab Al Mufrad, Hadith - 609. Classed as Hasan (liz-zatihi) by Shaykh Zubair Ali Zai.

Shaykh Zubair Ali Zai r.h. is hadees ki sehat ke tafseer me farmate hai:

"Is riwayat ke raawi Muhammad bin Faleeh aur Faleeh bin Sulaymaan dono par jirah jhuthi hai. Inki hadees Hasan darje se niche nahi girti (yaani kamazkam Hasan darje ki hoti hai)."

Mukhtasar Namaz e Nabawi, page-28.

Aur wo Mazeed farmate hai,

"Iski sanad Hasan liz-zatihi hai balki Sahih al Bukhari ki shart par hai."

Namaz e Nabawi, page-265. Under footnote-2.

•٠•●●•٠•

Post a Comment