Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 Jun 2018

Isha Ki Namaz Ka Waqt


Shuru ka waqt: Jab Surkhi (twilight) gayab ho jaye.

Khatm waqt: Fajr ka waqt shuru hone ke pahle.

Afzal waqt: Adhi raat se thik pahle.

Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai k ek raat ham namaz e Isha ke liye Rasool Allah ﷺ ka  intezar karte rahe. Jab raat ka tehaai hissa guzar gaya ya uske bhi baad toh Aap tashreef laaye aur farmaya: ‘Agar meri Ummat par gira’n (bhari) na hota to mai is waqt Isha ki namaz padhata, fir muazzan ne takbeer kahi aur Aap ne (Isha ki) namaz padhai.’ 

Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 639.

Saabit r.a. riwayat karte hai ki unlog (sahaba e karaam) ne Anas r.a. se RasoolAllah ﷺ ki anguthi (ring) ke bareme pucha toh Anas r.a. kahte hai ki ek baar Nabi ﷺ ne Isha ki namaz me deri kar di hatta ki aadhi raat aa pohchi ya aadhi raat bhi khatm hone wali thi. Aap ﷺ iske baad namaz ada karke hamse mukhatib hue aur kaha "Log namaz padhkar so chuke honge lekin Tum tab tak namaz me hote ho jab tak namaz ka intzar karte ho." (Iske baad) Anas r.a. kahte hai, "Jaise mai (ab bhi) Aap ki chandi se bani anguthi ki chamak dekh raha hu aur unhone baaye hath ki ungli uthate hue choti ungli se ishara kiya (ki anguthi isme thi).

Sahih Al-Bukhari , The Book of Mosques and Places of Prayer, Hadith- 1336.

Ubaid bin Juraijj r.a. farmate hai, Unhone Abu Huraira r.a. se pucha: Isha ki Namaz me kotahi kya hai?

Abu Huraira r.a. ne farmaya, "Tulu e Fajr (tak muakkhar karna)".

Sharah Maani ul Asaar by Imam Tahawi, hadith-882. [scan]

Malum hua ki Isha ka waqt fajr se pahle tak hai. Lekin afzal waqt yahi hai ki isha ki namaz aadhi raat se pahle padh li jaye.

Aadhi raat se murad: Maanle (lets assume), Agar 6 baje magrib ka waqt shuru hua hai (yaani gurub e aftab) aur fajr shuru hogi 5 baje. Toh 6 p.m. se 5 a.m. ke bich 11 ghante hue. Ab 11 ko aadha kare, to hote hai saadhe paanch (5:30). Ab magrib ke waqt se yaani 6 p.m. me saadhe paanch jod de to waqt hua saadhe gyaara yaani 11 baj kar 30 minute [11:30 p.m.]. To Isha ka afzal waqt 11:30 tak rahega. Isi tarha apne ilaake aur mausam ko dhyan me rakh kar ap apne shahar ki aadhi raat ka waqt nikaal sakte hai

Hamare kuch Ulema ka kahna hai ki Isha ki namaz ka akhri waqt aadhi raat tak hai. Ye raaye sahih nahi hai kyuki ye raaye Abu Huraira r.a. ki hadith se takrati hai. Aur ek nukta aur ki kuch log aetraz kar sakte hai ki Sahih Muslim ki hadith me toh aadhi raat ka waqt likha hua hai, lekin usi Sahih Muslim ki hadith me ye bhi likha hua hai ki Asar ka waqt suraj zard hone tak rahta hai Jab ki Bukhari (Hadith no. 531) me likha hua hai ki jisne gurub e aftab se pahle Asar ki ek rakat bhi paali usne Asar paa li. To in dono daleel se ye sabit hua ki Isha ka aakhri waqt fajr ka waqt shuru hone se pahle tak rahta hai lekin afzal waqt aadhi raat tak hai.

•٠•●●•٠•
Raziullah said...

Sharah Maani ul Asaar by Imam Tahawi, hadith-882 kya ye riwayat Sahi hai

Faisal Khan said...

@Raziullah:

Ji Sahih hai!

Post a Comment