۩ Anas r.a. se riwayat hai ke Nabi e Akram ﷺ Juma ki namaz us waqt padhte jab suraj (zawaal, center, se) dhal jaata.
Sahih al Bukhari: al Juma, hadith- 904.
۩ Sahal bin Sa’ad r.a. se riwayat hai ke ham Juma padhne ke ba’ad khana khate aur dopahar ka araam karte.
Sahih al Bukhari: al Juma, hadith- 939. Sahih Muslim: al Juma, hadith- 859.
۩ Anas r.a. se riwayat hai ke Aap ﷺ Juma ki namaz sardiyo’n mein jaldi padhte aur sakht garmi mein der karte.
Sahih al Bukhari: al Juma, hadith- 906.
۩ Imam Shafi farmate hai, "Jitne bhi logo (ahle-ilm) se meri mulaqaat hui, maine yahi paya ki is baat par koi ikhtilaf nahi hai ki Juma tab tak nahi padha ja sakta jab tak suraj zawaal (meridian) se guzar na jaye." End quote.
Kitab Al-Umm (1/223).
•٠•●●•٠•
Post a Comment