Kya mayyat ko ghusal dene wale ke liye namaz e janaza padhne se pahle libaas ki tabdeeli ya ghusl karna wajib hai ?
Alhamdulillah..
Ahle Ilm ke aqwaal me se sahih qawl yahi hai ke mayyat ko ghusl dene ke baad ghusl karna mustahab hai, wajib nahi.
Ye raaye Ibn Abbas, Ibn Umar , aur Ummul Momineen Ayesha r.a. aur Hasan basri, Ibrahim nakhi, Imam Shafi, Imam Ahmad, Ishhaq, aur Abu Sawr, ibn al-Munzir, aur dusro ki hai, aur Ibn Qudamah ne ise sabse behtar raye karar diya hai.
Dekhiye : Sunan al-Tirmidhi, 3/318; al-Mughni, 1/134.
Shaykh Albani farmate hain:
Aur mayyat ko Ghusl dene wale ke liye Ghusl karna mustahab hai, kyunki Rasool ﷺ ka farman hai:
"Jis ne mayyat ko ghusl diya woh ghusal kare , aur jis ne use uthaya wo wuzu kare."
Sunan Abu Dawood, Kitab al Jana'iz, hadith-3161. Sunan Tirmizi, Kitab al Jana'iz, hadith-993. Is ke baaz isnad hasan aur baaz sahih aur Imam Muslim ki shart par hai. Also classed as Sahih by Shaykh Albani and Shaykh Zubair Ali Zai.
Aur Ibn Qayyim ne "Tahdheeb al-Sunan" me 11 isnaad zikr karne ke baad kaha hai: "Ye sab isnad is baat ki Daleel hai ke ye hadees mahfooz hai."
Shaykh Albani mazeed farmate hai,
Ibn al-Qattaan ne ise sahih qarar diya hai aur isi tarha Ibn Hazam ne bhi saheeh kaha hai.
Dekhe: al-Muhallaa, 1/250 and 2/23-25.
Hafiz Ibn Hajar ne al-Talkhees, 2/134 (Muneeriyyah edition) me sahih karar diya hai aur unka kahna hai: Ye kamazkam Hasan ke darje par hai.
Is hadith ki zahiri matlab is taraf ishara karti hai ki ghusl karna farz hai. Lekin ham iska mashwara nahi dete hai aur uski wajah niche di gai mawqoof hadeese hai:
Pahli hadees :
Ibn Abbas r.a bayan karte hain ke: "Jab Tum apni mayyat ko ghusl do toh tumhe ghusl karne ki zarurat nahi hai, kyunki tumhari mayyat najis (napak) nahi hoti, tumhare liye sirf itna hi kafi hai ke apne haatho ko dho lo"
Narrated by al-Haakim, 1/386; al-Bayhaqi, 3/398.
Mujhe kaafi had tak ye lagta hai ki ye hadith Mawqoof hai jaisa ki maine al-Da’eefah, 6304 me wazahat ki hai.
Dusri hadees:
Ibn Umar r.a ka qawl hai: "Hum mayyat ko ghusl diya karte the, aur hum maise kuch log ghusl karte aur kuch ghusal na karte the".
Ise Imaam Daaraqutni,191; aur al-Khateeb ne Al-Tareekh, 5 / 424 me sahih sanad ke sath riwayat kiya hai, jaisa ke Hafiz ibn Hajar ka kahna hai, aur Imam Ahmed ne bhi iski taraf ishara kiya hai, aur Khateeb ne un se riwayat kiya hai ke unhone apne bete ko is hadees ke likhne par ubhara.
Dekhiye: Shaykh Albani ki Ahkaam al-Janaa’iz, 71. 72.
Aur Mustaqil Fatwa committee (1/318) aur Shaykh Ibn ‘Uthaymeen ne al-Sharh al-Mumti’, 1/295 me ise hi rajeh (sahih) qarar diya hai.
Aur raha masla Libaas tabdeel karne ka to sunnat e Nabawi ﷺ me is ki koi Daleel nahi milti, na to ye wajib hai, aur na hi mustahab hai.
•٠•●●•٠•
Post a Comment