Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jun 2018

Mayyat Ke Ahkaam


Abu Qataada r.a. se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ke paas ek Janaza guzra. Aap ne farmaaya : ‘Ye raahat pane waala hai ya is se auro’n ne raahat paai’,
Momin banda dunya ke ranj o museebat se rahat pata hai aur is ezaa se Allah ki rahmat ki taraf araam paata hai aur faajir (gunahgar) banda se insaan, shaher, darakht aur jaanwar raahat paate hain.

Sahih al Bukhari: ar Riqaaq, hadith- 6512. – Sahih Muslim: hadith- 950.

۞ A’alam Naza’a Mein Talqeen:

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Un logo’n ko jo marne ke kareeb ho’n "Laa Ilaaha Illallah" (kahne) ki naseehat karo.’

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 916,917.

۩ Aap ﷺ ne farmaya ke: ‘Jis ke aakhir kalaam "Laa Ilaaha Illallah" ho wo Jannat mein dakhil kar diya jayega.’

Sunan Abu Dawood: al Janaaez, hadith- 3116. Ise Imam Haakim Vol-1, P-351,500 Aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Jab tum beemar ya mayyat ke paas jao to bhalaai ki baat kaho, kyou’nke is waqt tum jo kuch kahte ho farishte is par aameen kahte hain.’

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 919.

۞ Allah Ta’ala Ke Baare Mein Nek Gumaan Rakhna Waajib Hai:

۩ RasoolAllah ne farmaya: ‘Tumhei’n is haal mein maut aani chaahiey ke tum Allah ke sath accha gumaan rakhte ho.’

Sahih Muslim, hadith- 2877.

Yaani Allah se Gunaaho ki magfirat, Azaab se hifazat aur Jannat ata karne ki ummeed rakhi jaye.

۞ Madeene Mein Marne Ki Tamanna Karna:

۩ Hafsa riwayat karti hain ke main ne Umar e Farooq r.a. ko ye dua karte hue suna:

“Allahummar Zuqnee Shahaadatan Fee Sabeelika Waja’al Mauti Fee Baladi Rasoolika”

Aye Allah! Mujhe Shahaadat Ki Maut De Aur Mujhe Madeena e Rasool Mein Maut De.

Sahih al Bukhari: Abwaab Fazaael al Madeena, hadith- 890.

۞ Maut Ki Aarzu Ki Mumaaneat:

۩ RasoolAllah   ne farmaya: ‘Maut ki aarzu na karo. Agar tum nek ho to shayad ziyaada neki kar sakoge aur agar badkaar ho to shayad tauba karke Allah ko raazi kar sakoge.’ 

Sahih al Bukhari: al Timnee [wishes], hadith- 7235. 

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Na maut ki aarzu karo na maut ki dua karo, kyou’nke jab koi shaks mar jaata hai to iski (neki karne ki) ummeed khatam ho jaati hai aur momin ki lambi umar se iski nekiya’n badhti hain.’ 

Sahih al Muslim: al Zikr wa ad-Dua, hadith- 2682.

۩ Ibn e Umar farmate hain RasoolAllah ﷺ ne mera kaandha pakad kar farmaaya: ‘Duniya mein is tarha raho goya ke musaafir balki raahi ho, chunaache Ibne Umar farmaaya karte the, Jab shaam ho to subha ka intezaar na karo. Jab subha ho to shaam ka intezaar na karo. Tandrusti ko beemari aur zindagi ko maut se pahle ghaneemat jaano.’

Sahih al Bukhari: ar Riqaaq, hadith- 6416.

۞ Khud Khushee Sakht Gunah Hai:

۩ Nabi e Kareem ﷺ  ne farmaya: ‘Jo shaks apne ap ko gala gho’nt kar maarta hai wo jahannam mein apna gala gho’nta rahega aur jo shaks neza chubho kar apni jaan deta hai wo jahannam mein apne ap ko neza maarta rahega, aur wo jahannam mein hamesh rahega.’ 

Sahih al Bukahri: al Janaaez, hadith- 1365. Sahih Muslim: hadith- 109.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Allah Ta’ala ne farmaya: Mere bande ne apni jaan khud li is liye main ne is par jannat haraam kardi.’

Sahih al Bukahri: hadith- 3463 ; Sahih Muslim: al Eeman, hadith- 113. 

۩ Jabir bin Samrah se riwayat hai ke ‘RasoolAllah ﷺ ne is shaks ki namaz e janaaza nahi padhi jis ne khud khushee ki thee.’

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 978.

۞ Maiyyat Ko Bosa Dena (Chumna, to kiss)

۩ Jiska koi kareebi dost, azeez faut ho jaye to isko maiyyat ki Muhabbat ki wajah se bosa lena jaaez hai, kyou’nke Abu Bakar r.a. ne RasoolAllah ﷺ ki wafaat par Aap ﷺ ka bosa liya tha.

Sahih Bukhari: al Janaaez, hadith- 1241.

۞ Maiyyat Par Chaadar Daalna

۩ Aisha r.a. farmati hain ke ‘Jab RasoolAllah ﷺ faut hue to 1 dhaari-daar Yamani chaadar se Aap ko dhaa’np diya tha.’

Sahih al Bukahri: al Janaaez, hadith- 1241.

۞ Faut Hone Waale Ke Dosto’n Aur Rishtedaaro’n Ko Iske Marne Ki Ittela Dena

۩ Abu Huraira ﷺ se riwayat hai ke ‘RasoolAllah ﷺ ne Habsha ke Baadshah Najjashee ki marne ke us din khabar di jis din wo faut hue.’  

Sahih al Bukhri: hadith- 1245. 

۩ Anas bin Maalik r.a. se riwayat hai ke ‘RasoolAllah ﷺ ne ghazwa Mu'tah me pahle Zaid fir Jafar aur fir Abdullah bin Rawaha ki shahadat ki ittela di aur Aap ki ankho’n se aa’nsu jaari the.’

Sahih al Bukhari: al Janaaez, hadith- 1246. 

۞ Maiyyat Ki Ankhei’n Band Karna

۩ Umme Salma r.a. se riwayat hai ke ‘RasoolAllah ﷺ Abu Salma ki iyaadat ko aaye aur inki ankhei’n khuli rah gai thee’n, fir Aap ﷺ ne inki aankho ko band kiya aur farmaya ke Jab jaan nikalti hai to aankhei’n unka peecha karti hai.’ 

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 920.

۞ Maiyyat Ko Jald Dafan Karna

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Maiyyat ko jald dafan karo, agar wo nek hai to jis taraf tum ise bhej rahe ho wo iske liye fayedemand hai aur agar wo bura hai to isko apni gardano’n se utaardoge.’ 

Sahih al Bukhari: al Janaaez, hadith- 1315.  Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 944.

•٠•●●•٠•

Post a Comment