Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jun 2018

Mayyat Ko Ghusl Dena Ka Shar'i Tarika


Mayyat ko Ghusl dene ka sahih aur shar'i tarika ye hai:

۩1. Wafaat ke fauran baad mayyat ka mu’n, ankhei’n band ki jaaei’n, baazu aur tangei’n aur hath, paou’n ki ungliya’n bhi seedhi kardi jaaei’n. Nez Kameez aur baniyaan wagaira utaar kar chaadar se mayyat ka badan dhaa’np diya jaae. Mayyat ke baazu, gale, ya pindli mein koi taweez dhaaga ya kadaa waghaira ho to ise utaar dei’n.

۩2. Paani ke andar Bairi ya neem ke patte ubaal liye jaaei’n (Bairi ke patte istemal karna afzal hai) fir yahi paani istemaal kiya jaaye aur lakdi ka ya koi aur takhta aisi jagah rakha jaaye jaha’n paani ka nikaas aur gandagi ko thikaane lagana asaan ho, mayyat ko is takhte par litaaya jaae. Naaf (navel) se ghutno’n (knee) tak ki jagah kapde se dhaa’np di jaaye aur dauraan e ghusl siwaye majboori ke mayyat ki sharmgaah par na hi nazar pade aur na hi kapde ke bagair ise haath lage.

Note: Ghusl ke liye pani itna garam na ho ki agar usse zinda shaks ghusl kare to use takleef ho kyuki mayyat ko bhi waisi hi takleef hoti hai jis tarha zinda shaks ko hoti hai. (Iski Daleel aage bayan ki gai hai)

۩3. Agar jism zakhmi ho aur is par pattiya’n bandhi hui ho’n to ehtiyaat se pattiya’n khol kar rooi (cotton) aur upar tayar kiya hua paani se aahista aahista zakhm dhoe jaaei’n. Har kaam ki ibtedaa daei’n taraf se karei’n siwaae iske ke sirf baei’n jaanib tawajjo ki mustahaq ho (i.e. if necessary).

۩4. Mayyat ko sar aur peeth par hath laga kar halka sa utha kar naaf ki taraf haath se mayyat ka pet 2 ya 3 bar halka sa dabaya jaae (taake andar ki gandagee imkaani had tak khaarij ho jaae) fir baei’n hath par kapde ka dastana wagaira (jo kafan ke sath banaaya jaata hai) pahen kar pahle paani se iska istinja karei’n. Agar zer e naaf balo’n ki safaai baaqi ho to karli jaaye.

Note: Istinja ka matlab sharmgaah ko dhona aur saaf karna.

۩5. Naak, daa’nt, mu’n ka khilaal aur kano’n mein acchi tarha geeli rui pher kar inki alag se safaai karli jaae take baad mein wuzu ke dauraan 3 dafa se ziyaada na dhona pade.

۩6. Bismillah padh kar mayyat ko shar'i wuzu karaaya jaae. Wuzu ka tarika ye hoga ki mayyat ka munh aur naak paani se saaf kiya jaye, mayyat ka chehra aur hath (kohniyo tak) dhoye jaye, sar aur kaano ka masah karwaya jaye, fir mayyat ke paao dhoye jaye. 

۩7. Sar se shuru karte hue hasb e zaroorat sabun istemaal karte hue puree jism ko (zarurat ke mutabik) 3 ya 5 ya 7 martaba acchi tarha dhoei’n. Akhri dafa nahlaate waqt paani me kuch kafoor (camphor) milaalei’n.

Mayyat ko 2 ya kisi aur ginti me bhi dhoya ja sakta hai lekin  mayyat ko taak (odd) ginti (3,5,7) me dhona mustahab hai aur hadees ke mutabik hai.

Notes:

1.  Agar Mayyat Khwateen ho toh inke baal khole , unhe dhoye fir unki teen chotiyan banaein. [Daleel: Sahih al Bukhari, hadith- 1254, 1260.]

2. Ghusl ki shuruat daayi taraf se ki jaye aur us hisse se shuruat ki jaye jis hisse se wuzu ki jati hai, yaani pahle upar ke daaye hisse fir upar ke baaye hisse fir niche ke daaye hisse aur fir niche ke baaye hisse se. [Daleel: Sahih al Bukhari, hadith-1255.]

3. Mayyat ke sath aesa koi amal na kiya jaye jo agar ek zinde shaks ke sath kiya jaye to use takleef ho kyuki Mayyat ko bhi utni hi takleef hoti hai jitni ek zinda shaks ko. Ummul Mu'minin Ayesha r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Murde Ki Haddi Todna Zinde Ki Haddi Todne Ki Tarha Hi Hai." Sunan Abu Dawud,hadith- 3207, Sahih by Albani.
Arab ke yaha agar mayyat ki haddi sidhi na ho rahi hoti toh haddi todi jati thi.

4.  Ghusl ka ye Tareeqa afzal hai, taaham kisi tarha bhi ghusl diya jaye wo kaafi hoga bas shart ye hai ke saare jism par pani bahaya jaye aur jism ki achi tarhan safai ki jaye.

5. Aurat hi aurat ko ghusl de sakti hai aur mard hi mard ko ghusl de sakta hai siwaye iske ke mard aur biwi ek dusre ko ghusl de sakte hai. [Daleel]

6. Yaad rahe ke ghusl e Mayyat ka tareeqa bhi takreeban ghusl e janaabat waala hai albatta, ghusl ke dauraan Mayyat ka aur iske jism ke izzat ka bohot khayal rakhna chaahiye.

7. Jo shaks Mayyat ko Ghusl deta hai uska ghusl karna Mustahab hai.

۞ Umm e Atiya r.a.  ne kaha, ham Rasool Allah ﷺ ki beti Zainab ko nehlaa rahe the to Aap ﷺ ne farmaya: ‘Inko 3, 5 ya 7 baar paani aur bairi ke patto’n se ghusl do aur aakhir baar (paani mein) kuch kaafoor (camphor) bhi mila lo aur ghusl se faraagat par mujhe itella kar dena, ghusl daei’n a’azaae wazu se shuroo karo. (Umme Atiya kahti hain) Ham ne (ghusl ke baad) inke balo’n ki teen (3) chotiy’an banayi aur inko peeche daal diya.’

Sahih al Bukahri: al Janaaez 1258 – Sahih Muslim: al Janaaez 939.

•٠•●●•٠•

Post a Comment