اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 Jun 2018

Paida Hue Bachhe Ke Kaan Me Azaan Dena

hi    

Ulema e Karaam ne bachhe ke kaan me Azaan dene ko sunnat kaha hai, taa keh jab duniya me wo aye aur uske kaan khule to sabse pahle wo Tawheed ke kalime ko sune aur iska boht hi azeem aur Mubarak asar padega in shaa Allah. Lekin baaye kaan me iqamat kahne ka koi subut nahi hai, naa hi Kitab wa Sunnat se aur na hi Ijma e Ummat se. [Dekhe Silsilat al-Da’eefah, 1/491].

Aaiye iski Tafseel dekhte hai,

Paida hue Bacche ke kaan me Azaan ke talluq se ek hadith milti hai: 

۩ Ubaidullah bin Abi Rafi riwayat karte hai, ki unke walid ne kaha, "Mai ne RasoolAllah ﷺ ko dekha ki Hasan r.a. jab Fatimah r.a. se paida hue toh Aap ﷺ ne Hasan ke kaan me Namaz ki Azaan ki tarah Azaan di."

Jamia Tirmidhi, The Book on Sacrifices, Hadith- 1514.

Lekin is hadith ke bareme hamare Muhaddiseen me ikhtilaf hai.

۞ Jin Muhaddiseen ne is hadith ko qubul kiya:

۩ Imam Tirmidhi Ne Kaha :- Hasan : [Sunan Tirmidhi, 1514].

۩ Imam Nawawi Ne Kaha :- Sahih : [Majmu, 8/434].

۞ Jin Muhaddiseen ne is hadith ko qubul nahi kiya:

۩ Mubarakpuri kahte hai:- Zaif : [Tuhfatul Awadh 4/455].

۩ Sheikh Zubair Ali Zai Kahte hai:- Isnaad Zaif : [Mishkaat al Masaabih, 2/614].

Aur agar aksar Muhaddiseen ki baat ki jaye to hamare aksar muhaddiseen ne is riwayat ko qubul nahi kiya kyuki isme ek raawi hai jiska naam A’sim Bin O’baidAllah hai aur is raawi ko hamare aksar Muhaddiseen ne zaif kaha hai.

Aur isi liye, aesi koi sahih hadith maujud nahi hai jisse hamko is amal ki taaleem milti hai. Kuch ahle ilm ka kahna hai ki ye amal Umar bin Abdul Azeez aur Ibn Al-Munthir aur kuch salaf ne kiya tha.

Lekin Hadith Ke Na Hone Ke Bawujud Ummat Ka Ijmah Hai Ki Paida Hue Bachhe Ke Kaan Me Azaan Dena Mustahab Amal Hai.

۩ Imam Tirmizi farmate hai, 

“Aur is Par Amal Hai”

Jami` at-Tirmidhi, The Book on Sacrifices, Hadith- 1514.

Yaani Bacche ke Kaan me Azaan dene par unke zamane ke Musalmano ka aur unse pahle Musalmano ka Amal tha.

۩ Imam Suyuti farmate hai, "Is Amal (Bacche ke Kaan me Azaan Dena) par Talqi bil Qubool (Ijmah) hasil hai agarche hadith ki sanad sahih nahi hai."


Tadreeb Ar-raawi, 1/66.

۩ Sheikh Zubair Ali Zai kahte hai: "Is (Hadith me) A’sim Bin O’baidAllah zaif hai aur iska zauf (kamzori) Jamhoor ke nazdeek mashhoor hai. (Lekin) Paida hone wale bachhe ke kaan me Azaan dena Sahih hai (aur) bagair kisi ikhtilaf ke sab is par amal karte rahe hai. Shariyat ke is amal par ulema e Islam ka Ijma hai aur ye Tirmizi me bhi hai."


Mishkatul Masabih, Volume-2, Page-614, Footnote no. 3. [scan].

۩ Imam Muslim Farmate hai,

"Ek Musalman is dunya me azaan aur iqamat ke sath aata hai aur wo is dunya se jata hai namaz aur duao ke sath [Janazah ki namaz aur uske baad ki dua]. Namaz e janaza me na hi Azaan hoti hai aur na hi iqamat jiski boht gahri ahmiyat hai. Iska matlab ye hai ki Namaz e Janazah ki Azaan aur Iqamat paidaish ke waqt hi kah diya jata hai."

Sahih Muslim, comments of Imam Muslim after the heading of the book kitab al Jana’iz (Book of Funeral prayer).

Lekin ye baat dhyan rakhe ki Bachhe ke kaan me iqamat kahna naa hi Hadith se sabit hai aur na hi Ummat ke Ijma se. Jo Ek hadith milti hai Bacche ke Kaan me iqamat ke silsile me use Sheikh Albani ne Silsilatul Ahaadeeth Ad-Da’eefah #321 aur Al-‘Irwaa’ #1174, me zaif karar diya hai.

Lihaza Bachhe ke kaan me Azaan dena ek behtar Amal hai.

•٠•●●•٠•