Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

14 Jun 2018

Rishtedaro Par Kharch Karne Ka Hukm


Sawal:

Mere waalid ki tankhwah (salary) das hazaar (10000) riyal hai jis me se hum bohat hi kam kharch karte hain aur baki meri walida jama kar leti hai is liye ke meri bahen ki abhi tak shadi nahi hui aur ham bhi abhi padhai se farig nahi hue hai, meri dadi bagair khawand ke mere ek chacha ke sath dada jaan ke ghar meri fufiyon (un maise do ne to shadi  hi nahi ki aur ek bagair khawind ke hai) ke sath rahti hain, aur woh hamari tarha achi bhali zindagi basar kar rahi hai.
Lekin is ke bawujud walid sahab un ki mahana muawnat karte hain (giving monthly allowance) aur unhe kharcha wagaira dete hain, aur walid sahab ka khet (farmland) bhi ek chacha ke control me hai jis ki aamdani woh khud hi istemal karte hain.
To mai ye janna chahtahon ke mere waalid sahib par kitna kuch wajib hai ke woh mahina kharch unhe de, ap ke ilm me hona chahiye ke woh sab achi bhali zindagi basar kar rahe aur in ke sab bhai aur behene zewraat aur makan ke bhi maalik hain.

Alhmdulillah..

Rishtedaro par kharch karne ki do (2) kisme  hain :

۞ Pahli Qism:

Jise 'umoodi' ya upar wala nasab kaha jata hai aur is mein aaba wa ajdad, chahe jitne bhi upar ke kyun na ho aur is tarha aulaad, chahe woh jitne bhi neeche ki janib hi kyun na hon shamil hote hain [aba wa ajdad yaani, maa-baap, dada-dadi, par-dada par-dadi aur isi tarha; aulad yaani beta-beti, pota-poti aur isi tarha], to in par do (2) sharton  ke sath kharch karna wajib (farz) hai :

۩ Pahli shart: Un maise jis par bhi kharch kiya ja raha woh gareeb ho aur unke pas kuch (kamaai ka zarya) na ho ya fir jo kuch un ke paas hai woh unke liye kaafi nahi aur na hi wo kamane ki qudrat ya taaqat rakhte ho .

۩ Dusri shart: Kharch karne wala khud maali taqat rakhta ho aur is ke paas apni aur apne biwi-bachho ki zarurat se zyada ho.

۩ Teesri shart: Deen ek ho (yaani sab musalman ho)

۞ Dusri Qism:

Aaba wa ajdaad aur beta-beti ko chor kar [jo upar bayan kiya gaya hai] baaki tamam rishtedar. In par kharch karna tabhi wajib hoga jab upar ke teen shart ke sath niche bataya gaya chautha shart bhi pura ho:

۩ Chauthi shart: Jis par kharch kiya ja raha hai us par kharch karne wala waris ho ya fir (kanuni taur pe) uska waris banna mumkin ho.

To is bina par agar ap ke chacha aur walid agar kharch karne ki istetaat aur taqat rakhte hai toh in sab ka ap ki dadi par kharch karna wajib hai.

Lekin ap ahsaan ke masle ko na bhule aur fir kareebi rishtedar par sadqa karna to dohre ajar ka baa'is hai isliye ke is mein ek to sila rahmi hai aur dusra sadaqa. Aur Ap Allah ta'la ka ye farmaan bhi yaad rakhen:

"Aur tum jo kuch bhi kharch karte ho Allah taala is ka badla tumhe deta hai aur woh sab se behtar aur achha rozi dene wala hai."

Surah Saba, Ayat-39.

Lihaza kareebi (rishtedar) par kharch karna aur fir khaas kar waalid par kharch karna to sab se bada rozi ke husool ka sabab hai aur baa'is e barkat bhi hai aur iske sath sath Allah ta'la apni janib se ajr wa sawaab se nawaazta hai .

Aur raha mas'ala kharch karne ki miqdaar ke baare mein toh is ke baare me hum guzarish karenge ke yeh kharch karne wale ki hasb istetaat wa qudrat aur jis par kharch kiya ja raha hai is ki zarurat ke mutabiq hai .

Allah subhana wa ta'la ka farman hai :

"(Aye Muhammad) Wo Aap se puchte hai ke wo kya kharch kare? Aap kah dijiye ke jo maal tum kharch karo wo maa baap ke liye hai, aur rishtedaro aur yateemo aur miskeeno aur musafiro ke liye hai aur tum jo kuch bhalayi karoge Allah ko us ka Ilm hai."

Surah Baqarah, Ayat-215.

•٠•●●•٠•
Juveria said...

Ma Shaa Allah very ilmi ❤️

Post a Comment