Allah ﷻ ne Shirk ki haqeeqat ko samjhane ke liye behtareen misaale di hai. Ek Dayee ke liye ye ek khazane ki tarha hai jiske zarye wo Gair-Musalmano ko dawat aur Musalmano ki Islah kar sakta hai.
۩ Jin logon ne Allah ke siwa aur kaarsaaz (madadgaar) muqarrar kar rakhe hain un ki misaal makdi (spider) jaisi hai jo ek ghar bana leti hai halanke tamam gharon se sabse zyada kamzor ghar makdi ka hota hai, kaash! woh jaan lete.
Surah Ankaboot (29), Ayat-41.
۩ Logo! Ek misal bayan ki ja rahi hai zara dhyan se suno, Allah ke siwa jin ko tum pukarte ho woh ek makkhi bhi paida nahi kar sakte. Agarche iske liye wo sare ikhatta ho jaye balki agar makkhi un se koi cheez le jaye to yeh to use bhi us se chura nahi sakte. Kamzor hai talab karne wala aur woh jis se talab kiya ja raha hai.
Unhone Allah ke martabe ke mutabiq uski qadar jani hi nahi, Beshak Allah bada hi quwat wala aur sab par galib hai.
Surah Hajj (22), Ayat-73-74.
۩ Usi ko pukarna haq hai. Jo log auron ko us ke siwa pukarte hain woh un (ki pukar) ka kuch bhi jawab nahi dete magar jaise koi shaks apne dono hath pani ki taraf failaye hue ho ke (pani) us ke munh me aa jaye halanke woh pani us ke munh mein pahunchne wala nahi. In kafiro ki pukar sab gumrahi me hai.
Surah Raad (13), Ayat-14.
۩ Allah Taalaa ek misal bayan farmata hai ke ek gulam hai (dusre ki milkiyat ka) jo kuch bhi nahi kar sakta aur ek aur shaks hai jise humne apne paas se achhi rozi de rakhi hai. Kya wo dono barabar hai? Allah Taalaa hee ke liye sab tareef hai balke in mein se aksar nahi jante.
Surah Nahal (16), Ayat-75.
•٠•●●•٠•
Post a Comment