Ibn Abbas r.a. ne bayan kiya ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya mere samnay tamam Ummate paish ki gayi Ek ya Do Nabi apne bas kuch hi Ummat ke sath guzarte rahe aur baaz Nabi aise bhi the ke un ke sath koi nahi tha, aakhir mere samne ek badi bhaari jamaat aayi. Mein ne poocha ye log kaun hain, kya ye meri ummat ke log hain? Kaha gaya ke ye Moosa a.s. aur un ki qaum hai fir kaha gaya ke kinaroon ki taraf dekhye mein ne dekha ki ek bahut hi badi jamaat hai jo kinaro tak chhaai hui hai fir mujh se kaha gaya ke aasman ke mukhtalif kinaroon tak idhar aur udhar dekhye toh maine dekha ki ek jamaat hai jo tamam aasman tak chhaai hui hai. Kaha gaya ke ye Aap ki Ummat hai aur is me se Sattar Hazaar (70000) hisaab ke bagair Jannat me daakhil kar diye jayenge. Is ke baad Aap ﷺ (apne hujre me) tashreef le gaye aur kuch tafseel nahi farmayi.
Log (sahaba) is muamle ke baare me bahes karne lage aur kahne lage ke hum Allah par Eemaan laye hain aur us ke Rasool ki itteba ki, is liye hum hi (sahaba) woh log hain ya hamari woh aulaad hai jo Islam me paida hue kyunki hum jahiliat me paida hue the. Ye baate jab Huzoor e akram ﷺ ko maloom hui to Aap bahar tashreef laaye aur farmaya yeh woh log honge jo jhaad phoonk nahi karate, wo bad-shaguni ya acche shagun (shubh-ashubh) me yakeen nahi rakhte aur daag kar ke ilaaj nahi karte lekin wo apne Rab par bharosa karte hain. Is par Ukasha bin Muhsin r.a. ne arz kiya ya Rasoolullah! Kya mai bhi un mai se hu. Aap ﷺ ne farmaya, 'Haan'. Is ke baad dusre sahabi khade hue aur arz kiya ya Rasoolullah ﷺ ! Kya Mai bhi un mai se hu? Aap ﷺ ne farmaya ke Ukasha tum se baazi le gaya (yaani wo dusre sahabi is fazilat me shumar nahi hai).
Note: Jamia Tirmizi ki ek sahih hadees hai jisme ye likha hai ki har 1000 jo bina hisab-kitab ke Jannat me jayenge wo apne sath 70000 hazar logo ko bagair hisab-kitab Jannat lekar jayenge jo ki pure 49 Lakh log ho jaate hai - [Jamia Tirmizi, hadees-2437]. Aur wo wahi log honge jinme wo khususiyat hogi jo upar ki hadees me bayan ki gai hai. Unki khususiyat ki tafseel niche wazeh ki gai hai:
1. Wo jhaad-fuk na karwate ho. [Note-1]
2. Wo bad-shaguni ya achhe shagun me yakeen na rakhte ho (maslan billi rasta kaat jaye to us raste se jane ko galat samajhna aur isi tarha ke dusre khayaal). [Note-2]
3. Daag ke zarye ilaaj na karwate ho. [Note-3]
4. Rab par (hi) yakeen rakhte ho. [Note-4]
۞ Wazahat
۩ Note-1: Wo jhaad-fuk na karwate ho:
Isse murad wo dam hoga jo shirkiya ho ya fir wo dam jo Quran aur sunnat me maujud na ho. Lekin wo dam jo Quran aur sunnat me ho wo kar sakte hai. Aur ye baat kabil e gaur hai ki wo dam jo shirkiya na ho chache wo Quran aur sunnat me maujud hi na ho wo bhi karna jayez hai Rasoolullah ﷺ ke hadees ke mutabik (hadees padhe) lekin agar koi ye karwa raha hai to wo us 70000 ki hadees wali fazilat se mahroom rahega. Yaani unke takwe ka aalam ye hoga ki wo sirf sunnat tarike se dam karenge agarche gair-sunnat dam jo shirkiya na ho wo dam bhi karna jayz hai.
Kuch ahle ilm ne is hadees ka galat fahm nikal kar kaha hai ki kisi bhi tarha ka dam karne ki ijazat nahi hai agar un 70000 logo me shamil hona hai chahe wo sunnat dam ho ya gair-sunnat aur kuch kahte hai ki khud kar liya jaye lekin dusro se khud par na karwaya jaye lekin ye dono raaye sahih nahi hai kyuki Rasoolullah ﷺ ne khud par bhi dam kiya hai aur Ayesha r.a. se dam karwaya bhi hai, Daleel ke liye dekhe Sahih al Bukhari, Kitab Fazail al Quran, hadees-5016.
۩ Note-2: Wo bad-shaguni ya achhe shagun me yakeen na rakhte ho:
Iska matlab ye hai ki wo shubh-ashubh jaise hindu mazhab me hota hai us par yakeen nahi karenge. Afsos ki baat hai ki hamare kuch muslim bhai/bahen bhi is me shamil hai jo is tarha ki chizo par yakeen rakhte hai jaise billi rasta kaat jaye to us raste se na jana ya fir agar chappal (sleeper) ulta ho jaye to ise wo bad-shaguni samajhte hai. Is tarha ki boht si chize hai. Toh Agar un 70000 logo me shamil hona hai hame to in galat chizo par yakeen nahi rakhna hoga.
۩ Note-3: Daag ke zarye ilaaj na karwate ho:
Daag ek ilaaj ka tarika hai. Ye jayz ilaaj hai lekin agar apko un 70000 logo me shamil hona hai to apko is tarike ke ilaaj se bachna hoga.
۩ Note-4: Rab par (hi) yakeen rakhte ho:
Apko apne Rab par bharosa aur yakeen rakhna chaiye. Yaani apka eemaan hona chahiye aur apka amal apke is eeman ki gawahi de ki Allah se hi sab kuch hota hai. Apko mushkil me sirf Allah hi yaad aye, koi peer-fakeer, mazaar, Auliya-Allah ya Nabi ﷺ nahi. Allama Iqbal ne apne shayri 'Bal-e-Jibril' me kaha hai ki "Buto se tujh ko ummeede.. Khuda se na-ummeedi, Mujhe bata to sahih Aur Kafiri Kya Hai!". To ye wala muamla na ho ki kuch log Allah ko chor kar but se ummeed lagate hai aur ham Allah ko chor kar mazaaro se ummeed laga le.
۞ Un 70000 logo ke chehre chaudhvi ke chand ke tarah chamkenge:
Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
“Meri Ummat ka 70000 logo ka ek groh jannat me jayega jinke chehre (chaudhvi ke) chand ke tarah chamak rahe honge.”
“Meri Ummat ka 70000 logo ka ek groh jannat me jayega jinke chehre (chaudhvi ke) chand ke tarah chamak rahe honge.”
Sahih Muslim, hadees-523.
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo hame un 70000 logo me shamil kare. aameen.
Hame Whats App par join karein: +9779868212118
Daag ke zariye ilaaj ko thora tafseel se samjhayein. Ye baat kuch samjh ni ayi.
Daag ke Ilaj se murad wo ilaj hai jo skin ko kisi chiz se jala kar kiya jaata hai jaise hamare muashre me mom ko pighla kar skin par daali jaati hai, is ilaj ko 'Cauterize' kahte hai.
Post a Comment