Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

14 Jun 2018

Zakat al Fitr Kise Ada Kiya Jaye ?


Fitrana gareeb Musalmano ko diya jayega chahe woh (sakht) gunahgaar hi kyu na ho jab tak ke uska wo gunah use Islam se kharij na karta ho.
(Fitrah ke talluq se) Gareeb se murad wo hoga jo zahiri halat se gareeb dikhe chahe wo asal me maaldaar hi kyu na ho.  

Fitrana dene wale ko chahiye ke wo apni istetat ke mutabik acche (nek) gareeb logo ko talash karne ki koshish kare jis had tak mumkin ho sake, aur agar fitrana lene ke baad ye zahir ho jaye ke wo maal-daar tha to isse (Fitrana) dene wale (ke neki) par koi fark nahi padega balke wo apne faraez se ada ho gaya hai.

Aur Allah hi taufeek dene wala hai.

•٠•●●•٠•

Standing Committee for Academic Research and Issuing Fatwas.

Post a Comment