اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jun 2018

Zohar Ki Namaz Ka Waqt


Shuru ka Waqt: Jaise hi Suraj zawaal (centre) se hat kar dubne ke taraf jaaye. [Sahih al Bukhari, hadith-541].

Khatm Waqt: Jab tak Asr ki namaz ka waqt na aa jaye [Sahih Muslim, hadith-1272].

Tafseer:

Garam aur Sard Mausamo’n Mein Namaz e Zohar ke Auqaat:

Abu Dharr r.a. riwayat karte hai ki Ek martaba garmi me Sayyadna Bilal r.a. ne Zohar ki azaan dena chaahi to Aap ﷺ ne farmaya: ‘Thand ho jaane do (thaher jaao). Garmi ki shiddat ke Jahannam ke lapto (exhalation) maise hai. Abu Dharr kahte hai, (Ham us waqt tak thehre) jab tak hamne teelo’n (gol chat) ke saaye na dekh liye.’

Sahih al Bukhari: Book of Times of the Prayers, hadith- 539. Sahih Muslim, hadith- 616.

Abu Huraira r.a. riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Jab garmi sakht ho to namaz e zohar thande waqt mein padho.’

Sahih al Bukhari: Book of Times of the Prayers, 533.  Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 615.

Thande waqt ka ye matlab nahi ke A’sar ki namaz ke waqt padha jaye balke murad ye hai ke shiddat ki garmi mein thodi der karlo. Yaha’n tak ke teelo’n ke saae nazar aane lage.

•٠•●●•٠•