Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 Jul 2018

Kisko Suna Jaye Aur Deen Ka Ilm Kisse Liya Jaye


Sawal: Apke mutabik ham Deen ka ilm kisse hasil kare aur kise sune aur kise na sune kyuki kuch log kahte hai ki agar hamne apne alawa dusro ko sunne ki ijazat dedi to wo bhatak sakte hai ?

Jawab:

Alhamdulillah..

Jis had tak Allah ne mujhe Ilm se nawaza hai, Mai is chiz ko Do (2) nukhta se dekhta hu. Pahla ye ki Deen kisse sikha jaye aur Dusra ye ki kisko suna jaye aur kisko nahi.

Sabse pahle ye jaan le ki kisi ko apna ustaad maan kar ilm hasil karna aur kisi ki koi baat sunne me fark hai. Maslan maine tahkeek ki aur fir ye paya ki fula shaks us usool se Deen sikhta aur sikhata hai jo usool mujhe haq lagta hai to ab mai usse Deen ka ilm hasil karunga.

Lekin agar mai apne kisi ustaad se ilm sikhta hu aur ek shaks mere paas aakar kahta hai ki dekho tumhare ustaad ki ye baat Quran aur sunnat ke khilaf hai aur mujhe wo apne kisi ustaad ka clip dikhata ya sunata hai to use sunna kahenge. Mai ye nahi kah sakta ki kyuki tumhare ustaad fula jamaat se hai isliye mai unki koi baat nahi sununga kyuki agar maine aesa kah diya to fir ye Taqleed hogi kyuki ab to maine aankh aur aql band kar li hai daleel milne ke bawujud.

Isi tarha jaise mai videos browse kar raha jisme mujhe kisi shaykh ki koi speech nazar agai aur mai use sunne lage aur mujhe unki baat samajh aane lagi halaki wo mere Jamaat ke nahi hai. To ise sunna kahenge na ki baqaidgi se ilm hasil karna kisi se.

Isliye kisi se ilm hasil karna aur kisi ki baat sunna, in dono me fark hai. Aur isi liye iske ahkaam bhi alag honge. Mai isi do (2) talluq se aage ki baate bayan karta hu in shaa Allah.

1۞ Deen Ka Ilm Kin Logo Se Hasil Kiya Jaye:

Is sawal ka jawab hame Quran ya sahih hadees me saaf taur par nahi milta hai. Islam me Ilm hasil karne ki bunyad 3 chizo par hai. Quran, Sahih Hadees aur Ummat ka Ijma. In teen chiz ki daleel ye hai:

۩ Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,
"... Sabse behtareen kalaam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad ﷺ ka tareeqa hai. sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baaton ka paida karna hai …”

Sahih Muslim, Kitab al Juma, hadith- 2005.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki meri Ummat kabhi gumrahi par jama nahi hogi.

Mustadrak al-Haakim, volume- 1, page-116, Hadith- 399. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

Toh Ijma ka manna bhi sahih hadees ke manne ki tarha hai kyuki Ijma ki hujjat sahih hadees se sabit hoti hai. Toh Deen ka Ilm ap unse sikhe jo in teen chiz (Quran, Sahih Hadees, Ijma) ke mutabik apko Deen sikhate hai. 

۩ Imam Shafi r.h. farmate hai, "Kitab Allah (Quran) ya Sunnat e Rasool ﷺ (Sahih hadees) ke alawa koi qawl paband (binding) nahi hai."

Jimaa’ al-‘Ilm, page-11.


۩ Imam Shafi r.h. farmate hai, "Kisi ka bhi kabhi ye haq nahi hai ki wo bagair ilm ke kisi chiz ko halaal ya haraam kahe, aur Ilm Qur’aan ya Sunnah, ya ijmaa’ (scholarly consensus) ya qiyaas (analogy) ki ibarat (text) hai. End quote.

Al-Risaalah, page-39.

Lekin Agar Quran, Sahih hadees aur Ijma ke zarye Deen sikhane walo me bhi apko do (2) raaye nazar aate ho toh ap unlogo maise unse Deen sikhe jo hamare aslaaf (salaf as saaleh) ke tarike par Deen ko sikhate ho. Aur sirf zubani-kalami nahi balki unke tarike aur unke bayanat me nazar aye ye salaf ka raasta.

Yaani jab koi raaye Quran, sunnat aur Ijma me na mile to ap dekhe ki hamare aslaaf ki kya raaye thi us muamle me. Ye mujhe behtar tarika lagta hai kyuki wo log RasoolAllah ke zyada kareeb the baaki logo se. Aur RasoolAllah ﷺ ne khud unhe behtar zamana karar diya hai. Aur hamare aslaaf RasoolAllah ke baad sirf Sahaba, Tabaeen aur Tabe-Tabaeen hai aur koi nahi, jaisa ki hadees me zikr hai:

Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Sabse behtareen log mere zamane ke hai (RasoolAllah aur sahaba), aur fir wo jo iske baad ayenge (tabaeen), aur fir wo jo uske baad ayenge (tabe-tabaeen).”

Sahih al Bukhari, Kitab Ar Riqaaq, hadith- 6429.

Isliye Quran aur sahih hadees ke baad inki raaye par tawajjo diya jaye kyuki baaki logo se behtar in logo ne Deen ko samjha tha. Aur jaise apko hadeeso ke zarye malum hoga ki hamare aslaaf me bhi kayi muamle me ikhtilaf hue, toh agar inki raaye me ikhtilaf ho to fir ham wapis Quran aur sahih hadees ke taraf lautenge jaisa ki Allah ne hame Surah Nisa ayat - 59 me hukm diya hai. Isliye sahaba ho ya tabaeen ya tabe-tabaeen, inki baat ko ham sirf tab tak hi manenge jab tak ki inki raaye Quran aur sunnat se na taqraati ho kyuki puri Ummat ka ijma hai ki sirf RasoolAllah hi wo hasti the jo khatao (mistakes) se Allah ki hifazat me the aur kisi shaks ki ye haisiyat nahi ki uski baat Allah aur uske Rasool ke barabar rakha jaye aur usko aakhri authority mana jaye.

Aur ye khud hamare sahabao ka tarika raha hai ki jab unme bhi kabhi ikhtilaf hota tha to wo apne ikhtilaf ko Allah aur uske Rasool ki taraf lautaate the. Isi baat ka hukm Allah ne hame Surah Nisa ayat 59 me diya hai aur maine ek article banaya tha jisme maine boht si misaale di thi ki jab bhi sahaba me kabhi apas me ikhtilaf hote the aur unhe jab unki galti par hadeese batayi jaati thi toh wo fauran ruju kar liya karte the (wo article padhe).

2۞ Kisko Suna Jaaye Aur Kisko Nahi:

Mujhe sawal sun kar ye mahsoos ho raha hai ki kuch log hai jo aasmaan se mamoor hue hai unhone aapko ijazat deni hai ki kisko suna jaye aur kisko nahi. 

Sawal ye keh rahaa hai ke hum logon ko kaise ijazat de de ki wo hamare firqe ko chor kar dusre logo ki baat sune? Is par mai puchta hu ki Aapki kya haisiyat hai logo ko ijazat dene ki, ki kisko suna jaye kisko nahi? Ye ijazat khuda aur khuda ka paigambar de chuka hai. 

Unhone saaf saaf apni kitab me ye aelaan kar diya hai ke Nubuwat khatm ho gayi hai. Ab logon ka kaam hai ke wo daleel ki bunyad par jis chiz ko chahe qubul kare. Isme bilkul aise mehsoos hota hai ke koi khas tabaqa hai jo aasman se utra hai ki usko faisla karna hai ke logon ko kis chiz ki ijazat deni hai aur kis chiz ki ijazat nahi deni hai. 

Mai to ye arz kar rahaa hoon ke ye to mazhab ke andar sawaal puchne ka muamla hai. 

Quran e majid to apne paigam ke bareme, jo saari duniya ke liye hai. Ye kahta hai ke :

"Man Sha'a Fal Yu'min Wa Man Sha'a Fal Yakfur."

Kahdo Ki Ye Tumhare Rab Ki Taraf Se Sach hai, Ab Jo Chaahe Eemaan Laaye Aur Jo Chaahe inkaar Kare.

Surah Kahf, Ayat- 29.

Ye Insaan ka buniyadi haq hai, ye usse koi bhi nahi chheen sakta. Usi ko faisla karna hai aur ap logon ko talqeen (mashwara) kar sakte hai wo sirf ye hai ye faisla khwahish ki buniyad pe na kijiye, daleel ke buniyad par kijiye. 

Hume logo ko Sirf educate karna hai. Lekin khuda logon ko ye faisla karne ka haq de chuka hai. To mai is haq ko aapse wapis nahi le sakta. Aur koi dusra bhi nahi le sakta. 

Is wajah se kisi ko bhi ye kahna ka haq nahi hai ke hum logon ko kaise ijazat de den ki wo dusro ko sune? 

Sawal ye hai ki ye ijazat dene ke liye aapke paas kya ikhteyaar-naamaa (certificate) hai? Wo dikha dijiye.. 

Aapke paas bhi wohi usool hai, ke apne jis chiz ko sahih samjha us chiz ko qubul kiya. Logon ke paas bhi yahi usool hai.

Logon ko Allah Ta’ala ne itni samajh, itna fahem de rakha hua hai ke agar woh sanjeedagi (seriousness) ke saath sahih baat ko janna chahenge to uski salahiyat unke andar moujud hai. Aur logo ke fahem par aitmaad karna chahiye. 

Allah pak Quran me farmate hai,

Aur Jo Hamare Rasto Me Jiddo-jahed Karenge, Ham Beshak Unhe Apni Raahe Dikha Denge. Aur Beshak Allah Neki Karne Walo Ke Sath Hai.

Surah Ankabut (29), Ayat 69.

To ab ye hamari tension nahi hai ki agar hamne use kisi ko bhi sunne ki ijazat dedi toh wo bhatak sakta hai, Allah pak upar ki ayat me wada kar rahe hai ki jo sach me haq ko talash karne wala hoga use Allah haq ka rasta dikha denge.

Aur agar yahi usool maan liya jaye ki sirf apne Jamaat ke logo ko sunna hai dusro ko nahi sunna hai to ek Qadyani zindagi bhar Qadyani hi rahe, ek shia sirf shia hi rahe zindagi bhar.

Aur Un Se Jab Kabhi Kaha Jata Hai Ke Allah Ta’ala Ki Utaari Hui Kitaab Ki Taraf Aao, Toh Wo Jawaab Dete Hai Ke Hum To Usi Tariqe Ki Pairwi Karenge Jis Par Hum Ne Apne Baap-dadaao Ko Paya Hai, Goya Un Ke Baap Daada Be-ilm Ho Aur Hidayt-yafta Bhi Na Ho.

Surah Baqara, Ayat-170.
•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustaqeem ata kare. aameen

Post a Comment