Ji charo aimma kya agar char hazaar aimma ho to unki bhi taabeer (interpretation) se ikhtilaf kiya ja sakta hai. Wo saare ke saare insan hai. Jiski raaye se ikhtilaf nahi kiya ja sakta wo sirf ya to Allah hai aur ya uska Rasool, aur koi nahi.
Khud Imam Malik ke liye ye kaha jata hai ki unhone apne zamane me Nabi ﷺ ki kabar ki taraf ishara karte hue ye baat kahi thi ki sirf is sahib e kabr se ikhtilaf nahi kiya ja sakta baaki kisi bhi hasti se ikhtilaf kiya ja sakta hai.
Aur hamare aimma to khud ye kahte rahe ki hamari baat ko Quran e Majeed ki roshni me dekho, sunnat ki roshni me dekho, aql e aam ki roshni me dekho, agar wo baat Quran aur sunnat ke mutabik ho to qubul karo aur agar aesa na ho to hamari us raaye ko deewar par de maaro. Ye khud Imam Abu Hanifah ka qawl hai - (source).
Ye saare (Fiqh ki taabeer) insaani kaam hai aur isme agar galti ho jaye to ye bilkul aam baat hai. Iske baad log kahne lagte hai ki fula Imam se kyu ikhtilaf karte ho, fula Shaykh se kyu ikhtilaf karte ho. Toh mai bata du ki ikhtilaf sirf Allah aur uske Rasool se nahi kiya ja sakta baaki har shaks se ikhtilaf hoga aur dalail ki bunyad par kiya jayega. Aur agar unki baat thik hai to ap uski dalail pesh kar dijiye, ham qubul kar lenge.
Hamare Imamo ne boht si chizo me apni raaye pesh ki hai. Aur hamare imamo ke bich bhi ikhtilaf raha hai, jaise teen imam rafa yadain kar ke namaz padhte hai toh ek imam bina rafa yadain ke namaz padhte hai, Imam shafi kahte hai ki aurat ko hath lagane se wuzu tut jata hai jab ki Imam Abu Haneefah kahte hai ki aurat ko hath lagane se wuzu nahi tut-ta. Toh aesa nahi hai ki sirf ham ikhtilaf kar rahe hai, hamare Imam bhi apas me ek dusre se ikhtilaaf kiya karte the. Jab imamo ko ek dusre se ikhtilaf karne ka haq tha toh hame ye haq kyu hasil nahi hai? Islam to sabke liye barabar hai na?
Ham bhi Daleel ki bunyad par ikhtilaf karenge, galati hogi to wazeh karenge, Adab Ke Sath Kahenge Ke Janab Apki Ye Baat Hamare Samajh Me Nahi Aa Rahi Hai. Aur sahaba e karaam ka bhi yahi tarika tha:
Salim bin Abdullah r.a. ne bayan kiya ki unhone Ahle Shaam mai se ek shaks se suna, wo Abdullah bin Umar r.a. se Hajj me Umra se fayda (Hajj e Tamattu) ke bareme puch raha tha. Toh Abdullah bin Umar r.a. ne kaha, "Ye jayz hai". Is par Shaami (sham ka rahne wala) ne kaha, " (Lekin) Apke ke walid (Umar r.a.) ne to isse roka hai?
Abdullah ibn Umar ne kaha, "Zara tum ye batao, agar mere walid kisi chiz se roke aur RasoolAllah ﷺ ne use kiya ho toh mere walid ke hukm ki pairwi ki jayegi ya RasoolAllah ﷺ ki, toh usne kaha, "RasoolAllah ﷺ ke hukm ki", toh unhone kaha, "RasoolAllah ﷺ ne aesa kiya hai".
Jamia Tirmizi, Kitab al Hajj, hadith-824. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.
Is hadith ye pata chala ki hamara Deen hame sahabi se ikhtilaf karne ki ijazat bhi deta hai agar wo raaye Quran aur sunnat ke mutabik thik na ho. Toh agar ek sahabi se ikhtilaf ho sakta hai toh 4 Imam se kyu nahi ho sakta?
•٠•●●•٠•
Post a Comment