Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Jul 2018

Kya Nakhuno Par Nail Polish Hone Ki Surat Me Wuzu Sahih Hoga Ya Nahi ?

en -
Quran e hakeem me wuzu ke mutalliq irshad e baari taala hai:

" يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا قُمْتُمْ إِلَى الصَّلَاةِ فَاغْسِلُوا وُجُوهَكُمْ وَأَيْدِيَكُمْ "

"Aye Eemaan walo! Jab tum Iqamat e salaat ka iradah karo to apne chehro aur hatho ko dho lo..."

Surah Maida, ayat - 6.

۩ Abdullah bin Amr r.a. se marwi hai ke Allah ke Nabi ﷺ ek safar mein hum se peeche the. Aap ﷺ ne hame is haalat me paaya ke namaz ka waqt tha aur hum wuzu kar rahe the, hum apne paaon par bas gila hath fer rahe the (aur ache se use dho nahi rahe) toh Aap ﷺ ne buland aawaz se  do ya teen martaba kaha,

"Apne Aediyo ko aag se bachao"

Sahih al Bukhari, Kitab al Ilm, hadith- 60.

۩ Isi tarah Sahih al Bukhari, kitab al wuzu, wuzu me aediya dhone ke baab me Ibn Seereen (Tabaeen r.h.) ke baarey me hai ke "Woh jab wuzu karte to anguthi wali jagah ko dhote the." Ye isi liye tha ke ungliya khushk na rah jaye. Kyunki wuzu me jo aaza dhoye jate hai un ka khushk rah jana sahih nahi.

۩ Imam Shafi farmate hai,

وإن كان عليه عِلْكٌ ، أو شيء ثخين ، فيمنع الماء أن يصل إلى الجلد : لم يُجْزِهِ وضوءُهُ ذلك العضوَ حتى يُزيلَ عنه ذلك ، أو يُزيلَ منه ما يعلم أن الماء قد ماسَّ معه الجلدَ كُلَّه ، لا حائل دونه" انتهى

"Agar uske (wuzu karne wale hisse ke khaal par) koi goond (glue) ya koi moti chiz hai jo pani ko khaal tak pahunchne se rokti hai, (toh) uska us hisse ko wuzu ke liye dhona sahih nahi jab tak ke wo us (chiz) ko hata na de ya fir itna na hata de jab tak use pata na chal jaye ki paani aur khaal ke bich koi rukawat nahi hai." End quote.

Al-Umm (1/44).

۩ Imam Nawawi farmate hai,

إذا كان على بعض أعضائه شمع ، أو عجين ، أو حنَّاء ، وأشباه ذلك ، فمنع وصول الماء إلى شيء من العضو : لم تصح طهارته ، سواء كثر ذلك أم قل ، ولو بقي على اليد وغيرها أثر الحناء ولونه دون عينه أو أثر دهن مائع بحيث يمس الماء بشرة العضو ويجري عليها لكن لا يثبت : صحت طهارته" انتهى

"Agar uski ungli par mo'm (wax), aanta (dough), mehndi ya isi tarha ka kuch ho jo pani ko (us wuzu karne wale) kisi bhi hisse tak pahonchne se rokti hai fir uski taharat durust nahi hai chahe uski miqdaar zyada ho ya thodi. (Lekin) Agar Mehndi ka nishan ya uska rang hatho me baaki rahta hai, bina koi thos (solid) chiz baaki rahe, ya kahi aur par, ya liquid grease ke nishan, jaha ungli par pani bah sakta ho aur rukawat na ho, fir uski taharat durust hai." End quote.

Al-Majmoo’ (1/529). 

۩ Shaykh Saleh al Munajjid kahte hai,

"Agar naakhoon polish chahe kisi bhi naam se ho aur kisi bhi jagah se bani ho sirf rang hai, uski asal naakhun par nahi banti, yani naakhun tak pani sarayat kar sakta hai (yaani pahonch sakta hai), aur uska naakhun par chilka sa nahi banta to aisi haalat mein wudu durust hoga, use hatana zaroori nahi .

Aur agar polish ki naakhun par teh ban jati hai, aur uske bina par naakhun tak pani nahi pahonchta to fir wudu se pahle use utaarna zaroori hai, kyunki wuzu durust hone ke liye ye shart hai ke wudu wale saare hisse (part) par pani puhanche, aur darmiyan me koi rukawat na ho.

Chunanche agar sirf nami naakhun tak pahunchti hai to (bhi) ye wuzu ke liye kaafi nahi hai, kyunke wuzu ke liye aaza par pani behna shart hai, sirf nami pohanchna kaafi nahi hai, aise hi thodi si jagah ko bhi jaan bujh kar khushk rakhna jaiz nahi hai."


To khulasa ye hua ki Agar ap wo nail polish istemal karti hai jisse pani nakhun tak pahochta hai to isme koi harj nahi. Lekin agar ap wo nail polish istemal karti hai jisse wuzu ke dauran pani apke nakhuno tak na poche to fir behtar raaye yahi hai ki nail polish utaar liya jaye. Aur agar apko ye ilm nahi hai ki jo nail polish ap istemal karti hai usme nakhun tak paani pohchta hai ya nahi to fir ehtiyat isi me hai ki ap nail polish ko utaar kar wuzu kare.

Aur wuzu karne ke baad nail polish lagane me koi harj nahi hai aur nail polish ko laga kar namaz padhne me bhi koi harj nahi hai bashart hai ki upar bayan karda tarike se wuzu kiya ho.

Aur Allah sabse behtar janta hai
•٠•●●•٠•

Post a Comment