en - |
Allah s.w.t. farmate hai,
“Tum Par
Apne Rab Ka Fazl Talaash Karne Me Koi Gunaah Nahi, Jab Tum Arafah Se Lauto
Mash’ar Haraam Ke Paas Zikr Ilaahi Karo Aur Us Ka Zikr Karo Jaise Ke Us Ne
Tumhe Hidayat Di, Halaan Ke Tum Is Se Pahle Raah Bhule Hue The”.
Surah Baqara, Ayat-198.
۞ Imam ibn Kaseer kahte hai,
“Arafah ek jagah hai jahan par Hajj ke dauran khada hua jata hai aur ye Hajj ke rasam ki ek bunyadi rukn hai. Iske himayat me ek sahih hadees hai jo Imam Ahmad aur deegar sunan ke jama karne wale raawiyo ne Thawri, Bukayr ibn Ataa aur Abd al-Rahman ibn Yamar al-Dayli se riwayat hai jinhone kaha ki unhone Allah ke Rasool ﷺ se ye baat suni ki “Hajj Arafah hai”. Aap ﷺ ne teen dafa isko farmaya.
Toh jo suraj nikalne se pahle Arafah pahunch gaya to isne goya Hajj ko paa liya. Aur mina ke teen (3) din hain, lekin jisne jaldi kar ke do (2) din me chhod diya, uspar koi gunah nahi, aur jisne intezar kiya, uspar bhi koi gunah nahi.
Aur Arafah me thaherne ka waqt Arafah ke din dopahar ke baad se lekar dusre din tulu e Fajr tak hai, jo qurbani ka din hain.
Ye isliye kyuki Nabi ﷺ hajjatul wida ke dauraan, zuhr ki namaz ada karne ke baad sooraj ghuroob hone tak Arafah par khade rahe the aur farmaya ki 'Mujhse ye tareeqe/rasm/rukn seekhlo'.”
Tafseer Ibn Katheer, Surah Baqara, Ayat-198.
•٠•●●•٠•
Post a Comment