en - |
"Mai (Rasool) Ne Jab Kabhi Unhe Teri Bakshish Ke Liye Bulaaya, Unhone Apni Ungliya Apne Kaano Me Daal Li Aur Apne Kapdo Ko Odh Liya Aur Ad Gaye Aur Bada Takabbur Kiya."
Quran, Surah Nooh, Ayat-7.
Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai:
“Unhone apne kaan band kar liye taaki wo sun na sake jiski taraf mai (Rasool) unhe bula raha tha. Sa`id bin Jubayr aur As-Suddi dono ne kaha ki wo apne sar dhaanp liya karte the taaki wo unki (Rasool ki) baat sun na sake. Aur bada takabbur kiya ka matlab ye hai ki unhone haq se muh fer liya aur (khud ko) haq ke supurd na kiya.”
Tafseer ibn Kaseer, Surah Nooh, Ayat-7.
۞ Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Anjaam:
Aur wo kahenge, "Agar hum (unki baate) sun lete ya Aqal istemal kar lete, toh dozakiyo me (shareek) na hote."
Surah al-Mulk (67), ayat-10.
Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai:
“(Is ayat ka) Matlab, Agar ham apni aqal ka fayda uthate ya haq ko sunte jo Allah ne utaari hai toh fir ham Allah par kufr na karte aur uske bareme gumraah na hote. Balki hamare paas itni samajhdaari nahi thi ye samajhne ke liye jo Rasool laaye the, aur hamare pas aqal nahi thi taaki unki (Rasool ki) pairwi kar ke ham khud ko raahe raast par laa sakte.”
Tafseer ibn kaseer, Surah al-Mulk (67), ayat-10.
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo hame haq ki mukhalifat karne se bachaye aur haq ko sunne aur aqal se fayda uthane ki taufeek ata kare. aameen.
Related:
Haq par chalne walo ka kabhi ye tarika ho hi nahi sakta ki wo kahde ki fula ko mat suno, fula se dur raho. Balki haq par chalne wale to daleel se baat karte hai. Daleel dene ke bajaye ye kah diya jaye ki fula ko mat suno, iska matlab yahi h ki apki daleel itni kamzor hai ki wo apki baat ko hi prove nai kr paari hai. Isi liye Allah ne Quran me RasoolAllah ki mukhalifat karne walo ka tarika bataya hai ki unhone haq sunne aur daleel se baat karne ke bajaye apne kaan band kar liye:
*"Mai (Rasool) Ne Jab Kabhi Unhe Teri Bakshish Ke Liye Bulaaya, Unhone Apni Ungliya Apne Kaano Me Daal Li Aur Apne Kapdo Ko Odh Liya Aur Ad Gaye Aur Bada Takabbur Kiya."*
Quran, Surah Nooh, Ayat-7.
💡 t.me/kitabiqra
Post a Comment