Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Sept 2018

'Deen Me Sharam Nahi Hai' Kahna Kaisa Hai?

en  -
Alhamdulillah..

Ye alfaz ki "Deen me Sharam (haya) nahi hai", ye galat hai. Balki Haya Deen ka hissa hai. Sahih alfaz jo kaha ja sakta hai, misaal ke taur par, wo ye hai ki "Allah sach batane me haya nahi karta hai" jaise ki Umm Salamah ki hadees me zikr hai, jinhone kaha ki Umm Sulaym RasoolAllah ﷺ ke paas tashreef laayi aur farmaya: "Aye Allah ke Rasool, Allah sach batane me haya nahi karta hai; kya aurat par ghusl hai jabke is ko ehtelaam (night fall) ho? Aap ﷺ ne farmaya: ‘Haa’n, jab paani (mani ka nishani) dekhe.’
Umm Salamah r.a. ne apna chehra dhaka aur farmaya, 'Aey Allah ke Rasool! Kya aurat ko bhi ehtelaam (night fall) hota hai? Aap ﷺ ne farmaya: ‘Haa’n (hota hai) tumhara daahina haath qhaak aaluda ho, kya bachhe ki mushabihat is ke alawa kisi aur wajah se hoti hai?’ Ise Bukhari aur Muslim ne riwayat kiya hai.


Notes:

۩1. Ummul Momineen Aisha r.a. Siddiqa riwayat karti hai ke Umme Sulaym ne Rasool Allah ﷺ se kaha: ‘Allah ke Rasool ﷺ ! Yaqeenan Allah haq se nahi sharmata (main bhi Aap se masla poochti hu’n) kya aurat par ghusl hai jabke is ko ehtelaam(night fall) ho?Aap ne farmaya: ‘Haa’n, lekin jab paani (mani ka nisha) dekhe.’Is par Umme Salma ne arz kiya: Aey Allah ke Rasool! Kya aurat ko bhi ehtelaam(night fall) hota hai?Aap ne farmaya: ‘Haa’n (hota hai) tumhara daahina haath qhaak aaluda ho, kya bachhe ki mushabihat is ke alawa kisi aur wajah se hoti hai?’
Sahih Muslim, kitab al haiz, hadeed- 715.

۩2. Hazrat Abu Huraira r.a. ne nakal farmaya Rasool ﷺ se ki Rasool ﷺ ne farmaya ki Emaan ki saath (60) se zyada shaakhe hai, aur haya (sharm) bhi Emaan ki ek shaakh hai.

Sahih al-Bukhari, kitab al eemaan, hadees- 9.

•٠•●●•٠•

Post a Comment