Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 Sept 2018

Khushi Ke Mauke Par Gaane Ka Hukm

en     ur  -
Is article me bayan karda cheeze sirf Aurat ke talluq se hai:

۞ Rubayyi bint Mu’awwiz r.a. bayan karti hai, 

“Nabi kareem ﷺ tashreef laaye aur jab mai Dulhan bana kar bithayi gayi toh Rasool ﷺ andar tashreef laaye aur mere bistar par usi tarha baithe jaise tum is waqt mere paas baithe hue ho. Fir hamare yahan ki kuch choti bachhiya Daff bajane lagi aur mere baap aur chacha jo jang e badr mein shaheed hue the, un ka marshiyah (elegiac verses) padhne lagi. Itne me un mein se ek bachhi ne padha, 'Aur hum mein ek Nabi hai jo un baato ki khabar rakhta hai jo kuch kal hone wali hain', RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke yeh chor do, Is ke siwa jo kuch tum padh rahi thi woh padho.”

Sahih al Bukhari, Kitab an Nikaah, hadith- 5147.

۞ Ayesha r.a. riwayat karti hai ki wo ek Dulhan ko ek Ansaari mard ke paas le gayi toh Nabi ﷺ ne farmaya, 'Aye Ayesha! Kya (shady ke mauke par koi) tafreeh (entertainment) nahi thi? Kyuki Ansar ko tafreeh pasand hai.

Sahih al Bukhari, Kitab an Nikaah, hadith- 5162.

۞ Abu Ishhaaq bayan karte hain ke maine Aamir ibn Sa’d al-Bajali ko ye kahte hue suna,  “Mai aur Saabit bin Wadeeah aur Qarazah ibn Ka’b al-Ansaari ek shadi me gaye to waha gaaya ja raha tha, toh maine un dono ko iske mutalliq kaha to wo kahne lage, Shadi-biyah me gaana aur mayyat par bagair cheekh o pukaar (wailing) kiye aansu bahane ki ijazat di gayi hai.”

Sunan Baihaqi, hadees no. 14469.

۞ Muhammad ibn Haatib al-Jamahi bayan karte hain ke Rasool ﷺ ne farmaya:

“Haraam aur halaal me farq daff aur aawaaz hai”.

Jami'at Tirmidhi, kitab an Nikaah, hadees - 1088. Ibn Majah, kitab an Nikaah, hadees - 1896. Sunan Nasa’i, kitab an Nikaah, hadees - 3371. Allamah Albani ne is hadees Ko Adaab al-Zafaaf, safa - 96 me Hasan karaar diya hai. Shaykh Zubair Ali Zai ne bhi in tamam riwayat ko Hasan karar diya hai.

۩ Shaykh Saleh al Munajjid kahte hai,

“Aurat ke liye mukhtalif khushi ke mubah mauqe maslan Eid aur Shadi biyah wagaira ke mauqe par daff bajaa kar ashaar padhne jaiz hain.
Shadi biyah ke mauqe par aurton ke liye ye fael jaiz hai, aur gaane bajane wali ashya me se sirf in ke liye daff bajana jaiz hai, iske alawa dhol wagaira ya koi aur cheez bajani jaiz nahi, aur daff aur dhol me farq ye hai ke dhol aur tabala dono janib se chamde ke sath band hota hai aur daff sirf ek janib se band hoti hai, aur dusri janib se khula hota hai.”

source: https://islamqa.info/en/9290

۩ Shaykh Albani kahte hai:

“Aur is, yaani dulha ke liye jaiz hai ke wo nikah ka aelaan aur izhaar karne ke liye aurto ko sirf daff bajane aur wo kalaam padhne aur gaane ki ijazat de jisme na to Jamaal o khoobsurti ka wusf ho, aur na hi fisq o fujoor wali baat...” fir unhone iski daleel zikr ki.

Adaab al-Zafaaf, p. 93. 

۩ Shaykh Abdul Azeez bin Baaz kahte hain:

“Shadi biyah ke mauqe par dhol bajana jaiz nahi, balke sirf daff hi istemal karni chahiye.”

Fataawa Islamiyyah, 3/185.

۩ Ibn ‘Uthaymeen kahte hain:

“Dono janib se band ko dhol kaha jata hai jo jaiz nahi, kyunke ye mausiqi me shamil hota hai, aur mausiqi ke sab illat haraam hain, sirf wahi halal hai jiski halaal hone ki daleel ho jo ki shadi biyah ke mauke par daff bajana hai”.

Fataawa Islamiyyah, 3/186.

•٠•●●•٠•

Post a Comment