Alhamdulillah..
Jo shaks Qurbani ke jaanwar ko zabah karna chahta hai uske liye sunnat hai ki wo zabah karte waqt ye dua padha:
“Bismillaah, wa Allaahu akbar, Allaahumma haaza minka wa laka, haaza ‘anni.”
Aur agar wo shaks dusre ki qurbani ke jaanwar ko zabah kar raha hai to wo ye kahega
“Bismillaah, wa Allaahu akbar, Allaahumma haaza an [fulaan], Allaahumma taqabbal min [fulaan] wa aale [fulaan].”
Note: Fulaan ki jagah us shaks ka naam kahna hai jiske naam se qurbani ho rahi hai.
Ahle ilm kahte hai ki isme zaruri sirf Bismillah kahna hai aur jo baaki dua hai wo farz nahi mustahab hai. [source]
Is dua ki Daleel niche di gai hadeeso se hai.
•٠•●●•٠•
۩ Anas r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne seeng wale do chitkabre mendhon (rams) ki Qurbani ki. Inhe apne haath se zabah kiya. Bismillah wa Allahu akbar (Allah ke naam se, Allah sabse bada hai) padha aur apna paon us ki gardan ke upar rakh kar zabah kiya.
Sahih al Bukhari, Book of Al-Adha Festival Sacrifice (Adaahi), hadith-5565. Baab: 'Zabah Karte Waqt Takbeer Ka Kahna'.
۩ Urwah bin Zubair ne Aisha r.a se riwayat ki ke Rasool ﷺ ne ek singon (Horns) wala mendha laane ka hukum diya jo siyahi mein chalta ho, siyahi mein baithta ho our siyahi mein dekhta ho (yahi paoun, pet our ankhen siyah hoon). Fir ek mendha qurbani ke liya laya gaya to Aap ﷺ ne farmaya ke aye Aisha! churi (knife) laao. Fir farmaya Ke is ko pathhar se tez kar lo. Mai ne tez kar di. Fir Aap ﷺ ne churi li, mendhe ko pakda, is ko letaya, fir zabah karte waqt farmaya, “Bismillah, Allahumma taqabbal min Muhammad wa aale Muhammad wa min Ummati Muhammad. ('Allah ke naam se, Aye Allah ! Muhammad ﷺ ki taraf se our Muhammad ﷺ ki aal ki taraf se our Muhammad ﷺ Ki ummat ki taraf se isko qabool karye,' fir Aap ﷺ ne iski qurbani ki.)
Sahih Muslim, hadith- 5291. Baab: 'Ye Mustahab hai ki achhe jaanwar ko qurbani ke liye chuna jaye aur khud se zabah kiya jaye, kisi aur ko (zabah) karne ki zimmedari na di jaye, aur (zabah karte waqt) Bismillah aur Taqbeer kaha jaye.'
۩ Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki Mai Nabi ﷺ ke sath eid ul azha ke din Eidgaah gaya, Jab ap khutbah khatam kar chuke to mimbar se niche utre, aur ek mendha laya gaya to Rasool ﷺ ne is ko apne hathon se zabah kiya, aur (zabah karte waqt) ye farmaya: 'Bismillaah, wa Allaahu akbar, Haaza anni wa amman lam yuzhahi min ummati' (Allah ke naam se, Allah sabse bada hai, Ye meri taraaf se aur meri Ummat maise us shaks ki taraf se hai jisne Qurbani nahi ki hai.)
Sunan Tirmizi, The Book on Sacrifices, hadith- 1521. Baab - 'Zabah karte waqt kya kaha jaye'. Shaykh Zubair Ali Zai ne ise hasan karar diya hai.
Imam Tirmizi is hadith ko bayan karne ke baad kahte hai.
“Ahle Ilm Sahaba aur deegar logo ka is par amal hai ke jaanwar zabah karte waqt aadmi kahe, 'Bismillahi wa Allahu Akbar'. Ibn e Mubarak ka bhi yahi qawl hai (ye) kaha jata hai”.
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo hame Ibraheem a.s. wala eemaan ata kare. aameen.
Post a Comment