Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

23 Sept 2018

Yazeed Ke Bareme Imam Ahmad ibn Hambal Ki Raaye

en  -
Mohanna ibn Yahya (Imam Ahmad ke shagird) ne bayaan kiya, wo kahte hai Mai ne Imam Ahmad ibn Hambal se Yazeed ibn Muawiya ke bare me daryaft kiya toh wo farmane lage: “Madeene me saara isi ka toh kiya karaya tha”

Toh Maine arz kiya: Usne kya kaam kiya (tha)?

Imam Ahmad ne farmaya: Usne (Madeenah) ko loota tha.

Mohanna (bin Yahya) kahte hai, maine fir Imam Ahmad se pucha: Kya ham Yazeed se hadees bayan kar sakte hai?

Imam Ahmad ne  farmaya: Usse koi hadees bayan nahi kar sakte aur kisi ke liye bhi ye jayz nahi hai ki usse koi ek hadees bhi bayan kare.

Mohanna (bin Yahya) kahte hai, mai ne arz kiya: Jab Madeene ka ye kissa hua toh us (Yazeed) ke saath kaun log the?

Toh Imam Ahmad ne jawab diya: Ahle Shaam us ke saath the.

Daleel: Al-radd ala Al-muta‘aṣib Al-anid Al-mani Min Zamm Yazeed [Ye (kitab) us muta‘aṣib sarkash ka radd hai jo Yazeed ko bura nahi kahta] by Ibn Jawzi, Safa no.40, Urdu Safa no.94, Sanad Hasan Li Zati (Shaykh Zubair Ali Zai).

•٠•●●•٠•
Related:

۩ Kifayatullah Sanabili Ke 10 Jhut [Exposed by Shaykh Zubair Ali Zai, page:388 onwards; in urdu]

Post a Comment