Alhamdulillah..
Hamare muashre me ye paaya jata hai ki har musalman ko 6 kalima yaad karna farz hai aur iski digar fazeelate bhi bayan hoti hai. Dar-haqeeeqat Islam me aesa koi ahkaam nahi bayan hua hai. Arabic me kalima ka matlab jumla hota hai, toh isi liye ye sirf 6 tak mahdood nahi hai. Kitab Allah aur ahadith e Rasool me hame lakho kalima milenge. Toh ye jo 6 kalime bataye jate hai usme pahle ke 3 kalime to bilkul usi alfaz ke sath sahih sanad ke sath sabit hai, chautha kalima alfaz ke thode farq ke sath sabit hai aur jo paanchwa aur chatha hai, ye ghadi hui (fabricated) hai, ye sabit nahi hai. Iski Daleel ye hai:
۞ Pahla Kalimah
Abdullah bin Umar r.a. ne kaha ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Islam ki buniyaad paanch (ruknon) par rakhi gayi hai: Iski gawaahi dena ke Allah ta'ala ke siwa koi ma'abood nahi aur Muhammad ﷺ uske bande aur uske Rasool hai, Namaz qayam karna, zakaat ada karna, Hajj karna aur Ramzaan ke roze rakhna.”
Sahih al Bukhari, Kitab al Eemaan, hadith-8. Sahih Muslim, Kitab al Eeman, hadith-93, 113.
۞ Dusra Kalimah
Uqbah bin Aamir r.a. se riwayat hai, unhone kaha: “Hamare zimme oont charane ka kaam tha, meri baari aayi, to mai shaam ke waqt unko chara kar wapas laya to maine RasoolAllah ﷺ ko dekha, Aap khade ho kar logo ko kuch irshad farma rahe the, mujhe Aap ki yeh baat (sunne ko) mili ki, “Jo bhi Musalman achi tarah wuzu karta hai, fir khade ho kar puri yaksui aur tawajjah ke sath Do (2) rakat namaz padhta hai toh iske liye jannat wajib ho jati hai.”
Maine kaha: Kya khoob baat hai yeh! Toh mere samne ek kahne wala kahne laga: Isse pahle wali baat is se bhi zyada umdah hai. Jab maine dekha hai toh woh Umar r.a. the, unhone kaha: Maine dekha hai ki tum abhi aaye ho,
Aap ﷺ ne (Isse pahle) farmaya tha: Tum maise jo shakhs bhi wuzu kare aur apne wuzu ko pura kare (khoob acchi tarah wuzu kare) fir yeh kahe:
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُ اللَّهِ وَرَسُولُهُ
"Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi Ma'abood nahi aur Muhammad ﷺ Allah ke bande aur uske Rasool hai", to uske liye jannat ke aanthon (8) darwaaze khol diye jate hai, jisse chahe dakhil ho jaye. "”
Sahih Muslim, Kitab at-taharah, hadees- 553.
Sahih Muslim, Kitab at-taharah, hadees- 553.
۞ Teesra Kalimah
Ubada bin Samit r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs raat ko bedar ho kar ye dua padhe:
لا إله إلا الله وحده لا شريك له، له الملك، وله الحمد، وهو على كل شىء قدير. الحمد لله، وسبحان الله، ولا إله إلا الله، والله أكبر، ولا حول ولا قوة إلا بالله
La ilaha ila Allah wahdahu la sharika lah, lahu al-mulk, wa lahu al-hamd, wa huwa ala kulli shay’in qadir. Alhamdulillah, Wa'SubhanAllah, Wa La ilaha illAllah, Wa'Allahu Akbar, La hawla wa la quwwata illa billah.
Allah ke siwa koi ma'abood nahi wo akela hai uska koi shareeq nahi, usi ke liye badshahi hai aur tamam tareefe bhi usi ke liye hain aur wo har cheez per qadir hai. Tamaam taareefe Allah hee ke liye hain, Allah ki zaat paak hai, Allah ke siwa koi ma'abood nahi, aur Allah sab se bada hai, Allah ki madad ke bagair na kisi ko gunahon se bachne ki taqat hai na neki karne ki himmat,
Aur fir ye padhe
"اللهم اغفر لي" [Allahummaghfirli] [Aye Allah! Meri magfirat farma]
Ya koi dua kare, toh uski dua qubool hoti hai. Fir agar usne wuzu kiya (aur namaz padhe) to namaz bhi maqbool hoti hai.
Sahih al Bukhari, Kitab al-Tahajjud, hadees- 1154; Sunan ibn Majah, Kitab ad-Dua, hadith-3878. Shaykh Zubair Ali Zai ne sahih karaar diya hai.
Note: Jo hamare muashre me teesra kalima mashhoor hai wo ye pura dua nahi hai balki is dua ka hissa hai.
۞ Chautha Kalimah
Abu Zarr r.a. riwayat karte hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs namaz e fajr ke baad jab ke wo pair mode (tashahhud ki halat me) baitha hua ho aur koi baat bhi na ki ho:
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
"Laa ilaaha ill-Allaah wahdahu laa shareeka lah, lahu’l-mulk wa lahu’l-hamd yuhyi wa yumeetu wa huwa ‘ala kulli shay’in qadeer" das (10) martaba padhen to iske liye das (10) nekiya likhi jayengi, aur iski das (10) buraiyyan mita di jayengi, iske liye das (10) darze buland kiye jayege aur wo is din, pure din har tarah ke makron wa na-panadidah cheez se mahfooz rahega, aur shaitan ke zair upar na aa pane ke liye is ki nigehbani ki jayegi, aur koi gunah ise is din siwaye Allah ke sath shirk ke halaqat se do-chaar na kar sakega.
Sunan Tirmizi, kitab al daawaat, hadith-3474. Ise Imam Tirmizi ne Hasan gareeb sahih aur Shaykh Zubair Ali Zai ne Hasan karaar diya hai.
•٠•●●•٠•
Allah hame sirat e mustakeem ata kare. aameen.
Post a Comment