Alhamdulillah..
Is mauzu par ahadith me hame koi waazeh ahkaam nahi milti, isi liye ahle ilm me is par ikhitlaf hai. Mai wo nukhta bayan karta hu jis raaye par hamare aksar salaf ka amal raha hai.
Farz Namaz Ki Iqamat Ke Waqt Muqtadi Ko Kab Khada Hona Chahiye, is me Do (2) manzar ho sakta hai.
1. Imam e Masjid maujud na ho Iqamat ke waqt.
2. Imam apne musalle par pahle se maujud ho (aam haalat).
۞1. Imam e Masjid maujud na ho Iqamat ke waqt:
Agar Imam e Masjid maujud na ho Iqamat ke waqt aur iqamat shuru ho gai ho to is haalat me jab tak Imam masjid me namaz padhane ke liye na ajaye tab tak muqtadi apni jagah par baithe rahenge aur imam ke aane ka intzar karenge. Fir jab imam aajaye tab khade honge (Imam ko dekh kar).
Sahih al Bukhari, Kitab al Aazaan, hadith-637.
۞2. Imam apne musalle par pahle se maujud ho (aam haalat):
Agar Imam apne musalle par pahle se hi maujud ho jaisa ki aam haalat me hota hai toh us waqt 'Qad iqamatis salaah' ke kahne par khade hona hai aur safe bhi iqamat muqammal hone ke baad sidhi karayi jayengi.
۩ Imam Tirmizi farmate hai, “Sahaba e karaam me ahle ilm ki ek jamaat ne logo ke khade hokar Imam ka intezaar karne ko makruh kaha hai, baaz kahte hai ki jab imam masjid me ho aur namaz khadi kar di jaaye toh wo log us waqt khade ho jab muazzin "Qad iqamatis salaah, Qad iqamatis salaah kahe, Ibn Mubarak (Tabe-Tabaeen) ka yahi qawl hai.”
Jamia at Tirmizi, book of traveling, hadith-592.
۩ Imam Ahmad ibn Hambal (Tabe-tabaeen) farmate hai, “Agar Imam Masjid me ho to log us waqt khade ho jab woh (iqamat kahne wala) "Qad iqamatis salaah" kahe. Imam Ishaq bin Rahwayh (tabe-tabaeen) ne is ki mukammal ta'eed farmayi hai.”
Masail Ahmad wa Ishaq, rawayatu Ishaq bin Mansoor Al-kosaj, 1/127-128, sentence-179.
[Shaykh Zubair Ali Zai ne bhi isi raaye ko pasand kiya hai. Unhone mazeed aur daleele bhi jama ki hai. Unke mazmoon ko is link ke zarye padhe - http://www.iqrakitab.com/p/namaz-ki-iqamat-ke-waqt-kab-khada-hona.html]
•٠•●●•٠•
Allah hame haq ko qubul kar ke us par chalne ki taufeek ata kare. aameen.
Post a Comment