en - |
Alhamdulillah..
Ek Musalman ka amal aur aqidah ye hona chahiye ki jis cheez ka faisla Allah ko karna hai wo us chiz me koi mudakhilat (interfere) na kare. Ye apne had se aage badhna hai jo boht bada gunah hai. Kisi shaks ke Jannat ya Jahannam ka faisla karna Allah ka haq hai. Isme hame mudakhilat nahi karni chahiye. Hame dusro se pahle khud ke eeman ki fikr karni chahiye aur dusra agar koi galat kaam kar raha hai to use jahalat ke alfaz se nahi balki Quran ke bataye hue tarike se islah karni chahiye. Allah pak farmate hai:
Logo Ko Apne Rab Ke Raastey Ki Taraf Hikmat Aur Khubsurat Nasihat Ke Sath Bulaiye Aur Unse Behtareen Tareeqe Se Bahes (Guftagu) Karye.
Surah Nahl, Ayat-125.
Ab mai hadees ke zarye is mauzu par roshni dalna chahta hu.
۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne farmaya, Ek (1) shakhs bahut gunah kiya karta tha jab is ki maut ka waqt kareeb aaya to apne beton se is ne kaha ke jab mai mar jau toh mujhe jala daalna fir meri haddion ko pees kar hawa me uda dena. Allah ki qasam! agar mere Rab ne mujhe pakad liya to mujhe itna sakht aazaab dega jo pahle kisi ko bhi is ne nahi diya hoga.
Jab woh (gunahgaar shaks) mar gaya to (is ki wasiyat ke mutabiq) is ke sath aisa hi kiya gaya. Allah taala ne zameen ko hukm farmaya ke agar ek (1) zarra bhi kahi is ke jism ka tere paas hai to use jama kar ke le aa. Zameen ne is hukm par amal kiya aur woh bandah ab (apne Rab ke samnay) khada hua tha. Allah taala ne kaha, 'Tum ne aisa kyun kiya?'
Us ne arz kiya, Aye Rab! Tere khauf ki wajah se. Aakhir Allah taala ne ise muaf kar diya.
Sahih al-Bukhari, Book of Prophets, hadith- 3481.
۩ Abu Hurairah. r. a. bayaan karte hai ki Mai ne Rasool ﷺ ko farmate hue suna:
Bani Israel me do shaks barabar ke the, in me se ek to gunah ke kaamo me laga rahta tha aur dusra ibaadat me laga rahta tha.
Ibaadat guzar dusre ko barabar gunah me laga rahta dekhta to usse kahta ki Baaz aajao!
Ek dafa isne use gunah karte paya to usse kaha: Baaz aajao!
Usne kaha: Kasam hai mere Rab ki tum mujhe chor do (apna kaam karo).
Kya tum mera nigahbaan banakar bheje gaye ho?
To is (ibadat guzaar) ne kaha: Allah ki kasam, Allah ta'ala tumhe nahi bakshega na hi tumhe jannat me dakhil karega.
Fir inki roohein qabs karli gayi to wo donon Rab ul aalameen ke paas ikhatta hue, Allah ne us Ibaadat guzar se kaha: Kya Tum mujhe jaante the, ya tum us par Qaadir the, jo mere hath me hai? Aur gunahgaar se kaha: Jaao aur meri rehmat se jannat me dakhil ho jao aur dusre (ibadat guzaar) ke mutaliq kaha: Ise jahannum me le jao.
Abu Huraira r.a kahte hain: Us zaat ki qasam jiske haat me meri jaan hai, usne (ibadat-guzaar ne) aisi baat kahi jisne iski dunya aur akhirat dono barbaad kardi.
Sunan Abu Dawood, kitab al Adab, hadith- 4901. Allamah Albani ne is hadith ko sahih karaar diya hai.
۩ Hazrat Abu Hurairah r.a. ne bayaan kiya ke hum Nabi ﷺ ke saath khaibar ki ladayi ke liye nikle. Is ladayi mein hume sona, chaandi ganimat mein nahi mila tha balke dusre amwaal, kapde aur samaan mile tha. Fir Bani ad-Dubaib ke ek shakhs Rifa'a bin Zaid naami ne RasoolAllah ﷺ ko ek gulaam hadiya (tohfa) me diya, ghulam ka naam Mid'am tha.
Fir RasoolAllah ﷺ waadi-e- al-Qura ki taraf mutawajja huye aur jab aap waadi-e- al-Qura mein pahuch gaye to Mid'am ko jab ke wo Aap ﷺ ka kijaawa durust kar raha tha, ek anjaan teer aa kar laga aur uski maut ho gayi.
Logon ne kaha ke jannat use mubarak ho, lekin Rasool ﷺ ne farmaya ke hargiz Nahi!, Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai, wo kambal jo isne taqseem se pahle khaibar ke maal-e-ganimat mai se chura liya tha, wo is par aag ka angaara ban kar jal raha hai.
Jab logon ne yeh baat suni to ek shakhs chappal ka tasma ya do (2) tasme le kar Aap ﷺ ki khidmat mein haazir hua, (matlab jo bina ijazat liya tha wo wapis le aya). Aap ﷺ ne farmaya ke yeh aag ka tasma hai ya do (2) tasme aag ke hain.
Sahih al-Bukhari, Book of Oaths and Vows, hadith- 6707.
۞ Ek Momin Ka Akhirat Ke Bareme Rawayya
۩ Amr bin Maimun r.a. riwayat karte hai, [Umar bin Khattab r.a. Ke wafat ke waqt, jab Umar r.a. zakhmi halat me the] Ek naujawan Umar r.a. ke paas aaya aur kahne laga, Ae Ameer ul Momineen! Allah taala ki taraf se Ap ko khushkhabri ho. Ap ne RasoolAllah ﷺ ki sohbat uthai. Ibtida mein Islam laane ka Sharf haasil kiya jo ki Ap ko maloom hai. Fir Ap khalifa banaye gaye aur Ap ne poore insaaf se hukoomat kiya, Fir Shahadat payi.
Ye sun kar Umar r.a. ne farmaya, "(Dekho aesa mat kaho) Mere In Aamaal Ke Wajah Se Qayamat Ke Din Mere Naam e Aamaal Agar Barabar Bhi Ho Gaya To Mere Liye Ye Kafi Hoga."
Sahih al-Bukhari, Kitab Fazail Ashaab an-Nabi ﷺ, hadith- 3700.
Sahih al-Bukhari, Kitab Fazail Ashaab an-Nabi ﷺ, hadith- 3700.
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo hamare gunah muaf kar dein. aameen.
Post a Comment