Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Oct 2018

Muhammad ﷺ Ka Dars e Tawheed

en  -
Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Mai ek din Rasoolullah ﷺ ke sath sawari par peeche tha, Aap ﷺ ne farmaya: "Aye ladke! Beshak mai tumhe chand aham baatein batla raha hun, Tum Allah ke ahkaam ki hifazat karo, wo tumhari hifazat farmayega, tum Allah ke huqooq ka khayal rakho use tum apne saamne paoge.
Jab tum koi cheez maango to sirf Allah se maango, (aur) jab tum madad chaho to sirf Allah se madad talab karo, aur ye baat jaan lo ke agar saari ummat bhi jama hokar tumhe nafa pahunchana chahe to wo tumhe is se zyada kuch bhi nafa nahi pahuncha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai, aur agar wo tumhe kuch nuqsan pahunchane ke liye jama hojaye to is se zyada kuch nuqsan nahi pahuncha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai, qalam utha liye gaye, aur (taqdeer ke) saheefe khusq ho gaye hain.

Sunan Tirmizi, Chapters on the description of the Day of Judgement, Ar-Riqaq, and Al-Wara', hadith-2516. Ise Imam Tirmizi ne Hasan Sahih karar diya hai aur Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karar diya hai.

Umar bin Khattab r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya: 'Agar tum log Allah par tawakkul karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tumhe usi tarah rizk milega jaisa ke parindon ko milta hai ke subah ko wo bhuke nikalte hai aur shaam ko wo pet bhar kar wapas aate hai.'

Sunan Tirmizi, Chapters On Zuhd, hadith - 2344. Ise Imam Tirmizi ne Hasan Sahih karar diya hai aur Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame in taaleemaat par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.

Post a Comment