Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Oct 2018

Tabayeen Azaam Se Muhabbat


Allah ‎ﷻ farmate hai

وَ السّٰبِقُوۡنَ الۡاَوَّلُوۡنَ مِنَ الۡمُہٰجِرِیۡنَ وَ الۡاَنۡصَارِ وَ الَّذِیۡنَ اتَّبَعُوۡہُمۡ بِاِحۡسَانٍ ۙ رَّضِیَ اللّٰہُ عَنۡہُمۡ وَ رَضُوۡا عَنۡہُ وَ اَعَدَّ لَہُمۡ جَنّٰتٍ تَجۡرِیۡ تَحۡتَہَا الۡاَنۡہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَاۤ اَبَدًا ؕ ذٰلِکَ الۡفَوۡزُ الۡعَظِیۡمُ

Aur jo Muhajireen aur Ansaar sabiq aur muqaddam hai aur jitne log ikhlaas ke sath unke pairo hai Allah un sab se raazi hua aur woh sab usse raazi hue aur Allah ne un ke liye aise baagh mohayya kar rakhe hai jin ke neeche nahren jaari hongi jin mein hamesha rahenge, yeh badi qamyabi hai.

Surah Tawba, ayat-100.

Yaha itteba karne waalo se muraad Sahaba ke Tabayeen hai.

۩ Rahmatullil aalameen Muhammad ﷺ, sahaba e karaam ki azmat, Tabayeen azaam ki rif'at aur Tabe-tabayeen ki shaan wa shaukat ko apni zuban mubarak se is tarah bayan farmate hai:

Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Sabse behtareen log mere zamane ke hai (RasoolAllah aur sahaba), aur fir wo jo iske baad ayenge (tabaeen), aur fir wo jo uske baad ayenge (tabe-tabaeen).”

Sahih al Bukhari, Kitab Ar Riqaaq, hadith- 6429.

۩ Abu Sayeed Khudri r.a. se riwayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya, “Ek zamana ayega jis mein log fauze bana kar Jihad karenge, toh unhe pucha jayega, Kya tum mein koi aisa admi (yaani sahabi) maujud hai jis ne RasoolAllah ﷺ ko dekha hai?
Toh wo kahenge, 'Ji haan!' Toh unhe (Allah ki taraf se) fatah hasil hogi. Fir kuch log fauze bana kar jihad karenge toh unhe pucha jayega ki tum me se koi aisa shakhs (yaani Tabayeen maujud) hai jis ne sahaba ko dekha hai? Toh wo kahenge 'Ji haan!' Toh unhe fatah naseeb hogi.
Fir kuch log fauz e tarteeb de kar jihad karenge toh unhe kaha jayega: 'Kya tum mein koi aisa shakhs (tabe tabayeen) maujud hai jisne ne Tabayeen ko dekha hai? Toh wo kahenge, 'Ji haan!', Toh unhe fatah hasil hogi.

Sahih al Bukhari, Kitab al Jihad, hadith- 2897.

۞ Is hadees paak se do (2) baat sabit hoti hai:

1. Sahaba ke baad Tabayeen ki jamaat intehayi muqaddas jamaat hai.
2.Nabi ﷺ ki peshangoyi minn wa ann puri hui aur sahaba, tabayeen aur tabe-tabayeen ke daur mein Islam ghalib raha alhamdulillah lehaza hum par wajib hai ki tamam sahaba, tabaeen, tabe-tabaeen, muhaddiseen, aimma e deen se muhabbat karen.

Allah talah is muhabbat ki wajah se hamare gunah muaf kar ke un muqaddas jamaato ke saath shamil kar dega in sha Allah.

۞ Waazeh rahe muhabbat ka taqaazah hai, “فَإِنْ آمَنُوا بِمِثْلِ مَا آمَنتُم بِهِ”

Yaani sahaba e karaam r.a. ke naqshe qadam par chalne ki puri koshish ki jaaye.

Allah talah ne Ummat e Musalimah me sahaba karam ke baad tabayeen azaam jaise azeem log paida farmaye, jo Islam ke asman par apni bayan karda hadees ki wajah se, suraj, chand, aur sitaron ki surat me musalsal jagmaga rahe hai.

Kahi Sayeed bin al Musaib, Hasan basri, Urwah bin zubair aur Sayeed bin Zubair hai toh kahi Zain ul aabideen, Muhammad ibn Sireen, Saalim bin Abdullah, Mujahid aur Ataa bin abi Rabaa kitab o sunnat ki roshni faila rahe hai. [Ye sab Tabaeen r.h. hai].

Inki tafseeli haalaat ke liye Hafiz Zahabi ki 'Tazkara tul Hifaaz', Siyar A'lam al-Nubala aur Hafiz Mizzi ki Tahzeeb al kamaal ka mutalla kare. Is azeem jamaat ke fazaail padhne aur sunne ke baad Dil wa Dimaag dang rah jate hai.

•٠•●●•٠•

Aye Allah hamare dilo ko apne aur apne pyare Nabi kareem ﷺ, Nabi ke pyare sahaba, tabaeen, tabe-tabaeen, aimma e karaam aur tamam muhaddiseen ki muhabbat se bhar de aur Rasool ﷺ ke farmaan, 'Aadmi usi ke sath hoga jisse wo muhabbat karta hai (Bukhari, 6170)' misraak bana dein. aameen summa aameen.

Post a Comment