Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Nov 2018

Ali r.a. Se Muhabbat Aur Unse Bughz


Sahih ahadees ki roshni me hame Ali r.a. ki kaafi fazeelat milti hai, hatta ke unse muhabbat ko eemaan ki nishani batayi gai hai.

۩ Ali r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Us zaat ki kasam jisne daana faada (aur fasal ugaai) aur makhluqaat paida ki, Nabi ﷺ ne mujhe ye ahad diya tha ki sirf momin shaks hi mujhse muhabbat karega aur munafiq shaks hi mujhse bughz rakhega.”

Sahih Muslim, kitab al eemaan, hadees- 240.

۩ Zaid bin Arqam r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jiska maula (dili mahboob) mai hu uska maula Ali hai”.

Note: Maula ka matlab Dili mahboob hota hai (aam taur par).

Sunan Tirmizi, chapters on virtues, hadees- 3713. Ise Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

۩ Saad bin Abi Waqas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne  gazwa e tabuk ke mauke par Ali r.a. se farmaya, “Kya tum isse raazi nahi ho ki tumhari mere sath wahi nisbat hai jo Musa ko Haroon ke sath thi siwaye iske ke mere baad koi Nabi nahi hai.”

Sahih al Bukhari, book of Companions of the Prophet, hadees- 3706. Sahih Muslim, book of Merits of the Companion, hadees- 6217.

۩ Zaid bin Arqam r.a. kahte hai, “Pahla shaks jisne Islam qubul kiya tha wo Ali hai”.

Sunan Tirmizi, chapters on virtues, hadees- 3735. Ise Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

Note: Is hadees me mazeed alfaaz bhi hai jo kahte hai ki ek Tabayeen kahte hai ki Abu Bakr r.a. sabse pahle Islam laaye. Toh isme ikhtilaf ho gaya, aur Muhaddiseen ka usool ye hai ki jab sahaba aur tabayeen ka ikhtilaf ho jaye to sahaba ki baat ko tarjeeh di jayegi jis tarha jab Rasool aur sahaba ki koi baat ka ikhtilaf ho jaye to rasool ki baat ko tarjeeh di jayegi. Aur aage ki hadees is chiz ko aur wazeh kar deti hai ki shuru me Islam laane waala kaun tha.

۩ Qais bin Abi Hazim (Tabayeen) bayan karte hain ke mai Madine me tha, ek dafa ka zikr hai ke mai bazar ja raha tha, mai muqaam Ahzar al ziyat par pahuncha, mai ne dekha ek shaks sawari par sawaar tha, kafi saare log iske ird gird jama the, wo shaks Ali r.a. ko gaaliyaan de raha tha. Isi aashna me Saad bin abi Waqas r.a. waha tashreef laye aur wo bhi wahi khade ho gaye. Logon se pucha: "Kya hua?"
Logon ne bataya ke ek aadmi Ali bin abi talib r.a. ko gaaliyaan de raha hai.

Saad r.a aage badhe, logo ne unhe raasta de diya. Saad us aadmi ke qareeb aagaye aur farmaya: "Arey tum Ali bin Abi Talib r.a. ko gaaliyaan kyu de rahe ho?
Kya wo sab se pahle Musalmaan nahi hue the?
Kya wo Rasoolullah ﷺ ke peeche namaz padhne wale sab se pahle shaks nahi the?
Kya wo sab se zyada dunya se be-raghbat nahi the?
Kya wo sab se zyada Ilm rakhne wale nahi the?
Is ke alawa bhi Saad r.a. ne Ali r.a. ke bahut se fazail ginwaye. Hatta ke ye bhi kaha: Kya wo Rasoolullah ﷺ ke damaad nahi the? Kya wo gazwaat me huzoor ﷺ ke alambardaar nahi the?

Iske baad Saad r.a. ne qibla rukh hokar, hath buland karke ye dua maangi: "Aye Allah, ye shaks tere ek wali ko gali de raha hai, ya Allah, ye majma khatam hone se pahle tu apni kudrat ka karishma dikha de (aur log tere wali ku gaali dene ka anjaam apni aankhon se dekh le).
Qais r.a. kahte hai: Khuda ki qasam! Hum abhi waha se hate bhi nahi the, ke uski sawari bidak gayi, is sawaari ne us aadmi ko sir ke bal patharon me gira diya jiski wajah se iski khopdi khul gayi aur iska bheja bahar aagaya aur wo wahi par ibratnaak maut mar gaya.

Al Mustadrak al Hakim, hadees- 6121. Is hadees ke bareme Imam Hakim kahte hai ki ye Bukhari aur Muslim ki shart par sahih hai. Yahi hukm Imam Zahabi ka bhi hai.

۩ Abu Sayeed khudri r.a. ne farmaya, “Ham Ansaar ke munafikeen ko Ali r.a. se bughz ki wajah se pahchante the.”

Imam Ahmad ibn Hambal ki kitab- 'Fazail e Sahaba', hadees- 979. Ise Shaykh Wasiullah bin Muhammad Abbas ne sahih karaar diya hai. [scan]

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame siraat e mustakeem ata kare. aameen.

Post a Comment