اقرأ باسم ربك الذي خلق

24 Nov 2018

Islam Me Insaaf Hai

  hi     en  -
Allah ﷻ farmate hai,

“.. Jab koi baat kaho toh insaf se kaam lo, chahe muamla apne qareebi rishtedaar hi ka ho.”

Suran Anaam, ayat-152.

Dusri jagah Allah ﷻ farmate hai,

“Aye eeman walo! Adal-o-insaf par mazbuti se jam jane wale aur khushnoodi-e-maula ke liye sachhi gawahi dene wale ban jao goh woh khud tumhare apne khilaf ho ya apne maa-baap ke ya rishtedaar ke. Wo shaks chahe ameer ho ya gareeb ho, dono ke sath Allah ko zyada talluq hai. Is liye tum khwahish-e-nafs ki pairwi mat karo ki haq se hat jao, aur agar tum baatein banaoge ya muh fer loge toh jo kuch tum kar rahe ho Allah usse ba-khabar hai.”

Surah Nisa, ayat-135.

Allah ﷻ ek aur jagah farmate hai,

“Aye eeman walo! Allah ki raza ke liye Adl wa insaaf ke sath dat kar gawahi dene wala bano. Aur logo ki nafrat, tumhe is baat par na ubhare ke tum adl wa insaaf ke sath kaam na lo. Insaaf karo yahi baat taqwe ke zyada kareeb hai aur Allah se darte raho, beshak Allah tumhare aamaal ki puri khabar rakhta hai.”

Surah Maida, ayat-8.

Ayesha r.a. riwayat karti hai ke Makhzumi khatoon jinhone (gazwah fatah ke mauka par) chori kar li thi, is ke mua'amle ne quraish ko fikr me daal diya. unho ne aapas me mashwara kiya ke is mua'amle par Aa Hazrat ﷺ se guftagu kaun kare! Aakhir yeh taye hua ke Usama bin Zaid r.a. Aap ﷺ ko bahut azeez hai. Un ke siwa aur koi is ki himmat nahi kar sakta. Chunanche Usama r.a ne Aa Hazrat ﷺ se is bare me kuch kaha to Aap ﷺ ne farmaya, “Aye Usama! Kya tum Allah ki hudood maise ek had ke bare me mujh se sifarish karte ho?”
Fir Aap ﷺ khade hue aur khutba diya (jis me) Aap ne farmaya: “Pichli bohut si ummate is liye halaak ho gayi ke jab un ka koi aala aadmi chori karta toh use chhod dete aur agar koi gareeb chori karta toh us par Allah ki saza daal dete aur Allah ki qasam! Agar Muhammad ki beti Fatima (RasoolAllah ki beti) bhi chori kare to mai is ka bhi haath kaat dalu.”

Sahih al Bukhari, book of Prophets (60), hadith - 3475.

•٠•●●•٠•