Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

12 Nov 2018

Kabr Ke Paas Hath Utha Kar Dua Karna

en  -
Alhamdulillah..

۞ Pahla Nukhta

Sabse pahli baat ye jaan lein ki kabr par jakar mayyat ke liye dua karna sunnat hai:

Aisha r.a. riwayat karti hai ki ek raat RasoolAllah ﷺ khade hue, apna kapda pahna fir (bahar) nikal gaye, toh maine apni laundi Barirah ko hukm diya ke woh (Aap ﷺ ke) peeche peeche jaye, chunanche woh Aap ke peeche peeche gayi yaha tak ke Aap Baqi (kabrastaan) pahunche, toh is ke qareeb khade rahe jitni der Allah taala ne khada rakhna chaha, fir Aap palte toh Barirah Aap ﷺ se pehle palat kar aa gayi, aur us ne mujhe bataya, lekin mein ne Aap ﷺ se is ka koi zikr nahi kiya yahan tak ke subah zikr kiya, toh maine Aap ko saari baatein batayi. Aap ﷺ ne farmaya: "Mujhe ahle Baqi (Baqi me dafan logo) ki taraf bheja gaya tha taake mein unke haq me dua karu."

Sunan an-Nasa'i, The book of funerals, hadith - 2040. Ise Shaykh Zubair ali zai ne hasan karar diya hai.

۞ Dusra Nukhta

۩ Hath Utha Kar Dua Karna Ye Dua Karne Ke Aadaab Maise Hai:

Salman al-Farsi r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Tumhara Rab bahut ba-haya hai aur kareem hai, Jab uska banda us ke saamne apne dono hath uthata hai toh unhe khali lautate hue use apne bande se sharam aati hai.”

Sunan Abi Dawud 1488, Book of Prayer (Kitab Al-Salat): Detailed Injunctions about Witr, hadith--1488. Allama Albani ne ise Sahih karar diya hai.

۩ Dua Me Hath Uthane Ke Mutallik Ek Usool

Bunyadi usool ye hai ki har Dua karte waqt hatho ko uthaya ja sakta hai siwaye us mauke par jaha par hatho ka na uthana RasoolAllah ﷺ se sabit hai. [source]

Isi usool ke mutallik Imam Nawawi kahte hai:

'Namaz se bahar kisi (bhi) dua mein haath uthana mustahab hai.'
Iske baad unhone aisi bahut si riwayat zikr ki hain jo ke namaz se bahar dua karne ke jawaaz ki daleel hain.
Is ke baad unhone kaha, 'Is masle mein is ke ilawa bhi bahut si ahadees hain, taaham jitni ahadees maine zikr kardi hain ye kaafi hain. Nukhta ye hai ki ye samjha jaye ki jo shaks ye daawa karta hai ki dua ke liye hath sirf un mauko par uthaya jaye jiska hadees me zikr hai to wo galti par hai.'

Sharh at-Tahdheeb, 3/489.

Yaani ki dua ke liye hath un mauko par bhi uthaya ja sakta hai jiski daleel hame hadees me nahi milti hai bashart hai ki bas un mauko par na uthaya jaye jin mauko par RasoolAllah ne dua karte waqt apne hatho ko na uthaya ho.

Isi usool ke tahat kabr ke paas hath utha kar dua karne me koi harj nahi hai.

۩ Shaykh ibn Baaz r.h. se sawal kiya gaya:

"Kya mayyat ki kabr ke paas dua haath utha kar ki ja sakti hai?"

Toh unhone jawab diya:

"Agar haath utha le to is me koi harj nahi hai, kyunke Nabi ﷺ se Aisha r.a. kahti hain ke: "Aap ﷺ qabristan gaye aur waha par madfoon (dafan) logo ke liye haath utha kar dua farmayi. Rawaah Muslim."

Majmoo‘ al-Fataawa, 13/337.

Ek baat ka zarur dhyan diya jaye ki kabr ke paas jab hath utha kar dua kare toh qibla ke taraf chehra karke dua kiya jaye na ke kabr ke taraf muh kar ke dua kari jaye. [source]

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

Post a Comment