اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Nov 2018

Sahaba e Karaam - Ek Chaand Ke Tamaam Sitare


Allah ‎ farmate hai

وَ السّٰبِقُوۡنَ الۡاَوَّلُوۡنَ مِنَ الۡمُہٰجِرِیۡنَ وَ الۡاَنۡصَارِ وَ الَّذِیۡنَ اتَّبَعُوۡہُمۡ بِاِحۡسَانٍ ۙ رَّضِیَ اللّٰہُ عَنۡہُمۡ وَ رَضُوۡا عَنۡہُ وَ اَعَدَّ لَہُمۡ جَنّٰتٍ تَجۡرِیۡ تَحۡتَہَا الۡاَنۡہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَاۤ اَبَدًا ؕ ذٰلِکَ الۡفَوۡزُ الۡعَظِیۡمُ

Aur jo Muhajireen aur Ansaar sabiq aur muqaddam hai aur jitne log ikhlaas ke sath unke pairo hai Allah un sab se raazi hua aur woh sab usse raazi hue aur Allah ne un ke liye aise baagh mohayya kar rakhe hai jin ke neeche nahren jaari hongi jin mein hamesha rahenge, yeh badi qamyabi hai.

Surah Tawba, ayat-100.

Sahaba e karaam wo jamaat hai jinki shakshiyat ko dekh kar ek insan ke dil o dimag dang rah jate hai. Aaiye unki majlis me chalte hai aur unke dang kar dene waale waqyat par gaur karte hai.

۞ Abu Sa’eed al Khudri r.a. riwayat karte hai, "Muwaiya r.a. (ek baar) masjid me aye aur (waha baithe logo se) kaha. Ap log kis wajah se yaha baithe hai? Sahaba e karaam ne farmaya: Ham is liye yaha baithe hai taaki ham Allah ko yaad kar sake. 
Muawiya r.a. ne kaha, "Kya Wallah ap log sirf isi liye baithe hai?"
Unlogo ne kaha, "Wallah ham log sirf isi liye baithe hai.
Muawiya r.a. ne kaha, "Maine ap par kisi tohmat ki wajah se qasam nahi di aur RasoolAllaah ﷺ ke samne meri haisiyat ka koi shakhs aisa nahi jo hadees bayan karne mein mujhse kam ho, (iske ba-wujood apne yaqeeni ilm ki bina par mein tumhare samne yeh hadees bayan kar raha hu ke).
Asal me RasoolAllaah ﷺ bhi ek bar nikal kar apne saathiyo ke ek halqe ke qareeb tashreef laye aur farmaya: "Tum kis garz se baitthe ho?" Unhone kaha: Ham baithe hue Allaah ka zikr kar rahe hain aur is baat par us ki hamd kar rahe hain ke usne Islam ki taraf hamari rahnumayi ki, iske zariye se hum par ehsaan kiya. Aap ﷺ me farmaya: "Kya tum Allah ko gawah bana kar kahte ho ke tum sirf isi garz se baitthe ho?" Unhune kaha: Allaah ki qasam! Hum iske siwa aur kisi garz se nahi baithe. Aap ﷺ  ne farmaya : "Maine kisi tohmat ki wajah se tumhe qasam nahi di, balki mere paas Jibraeel a.s. aaye aur mujhe bataya ke Allaah ta'ala tumhare zariye se farishton ke saamne fakhar ka izhar kar raha hai."

Sahih Muslim, book of pertaining to the remembrance of Allah, supplication, repentance and seeking forgiveness, hadith-6857.

Is hadith se ham logo ko ye sikhna chaiye ki Rasool ﷺ ke sahaba choti si choti sunnat ko bhi yaad rakhte the aur dusro ko sikhaya karte the jis tarha Muawiya r.a. ne kiya.

۞ Ye waqya hai sulah hudaibiya ke mauke ka. Is mauke par urwa r.a. Musalmaan nahi hue the, wo baad me musalman hue the. Urwa r.a. Kafiro ki taraf se agent ban kar aye the Aap ﷺ ke pas unse mu'aida karne ke liye. Fir jo manzar unhone RasoolAllah aur sahaba ke darmiyan dekha wo ye tha,

Urwa bin Masood r.a. us manzar me:

“Urwa r.a. ghoor ghoor kar RasoolAllah ke ashaab r.a. ki naqal aur harkat dekhte rahe. Fir raawi ne bayan kiya ke qasam Allah ki agar kabhi RasoolAllah ﷺ ne balgam bhi thooka toh RasoolAllah ke ashaab ne apne haathon par use le liya aur ise apne chehre aur badan par mal liya, kisi kaam ka agar RasoolAllah ne hukum diya toh uski bajaawari me ek dusre par log sabqat le jane ki koshish karte. Rasoolallah wuzu karne lage toh aisa maloom hua ke Rasoolallah ke wazu ke paani par ladai ho jaayegi (yaani har shakhs us paani ko lene ki koshish karta tha). Jab Rasoolallah guftagu karne lagte the toh sab par khamoshi chaa jati. Rasoolallah ki taazeem ka yeh haal tha ke Rasoolallah ke sathi nazar bhar kar Rasoolallah ko dhekh bhi nahi sakte the."

Fir jab Urwa r.a. Jab apne sathiyon se jaa kar mile toh un se kaha,

Aye logon! Qasam Allah ki, mai (bade-bade) baadshahon ke darbaar me bhi wafad le kar gaya hu Kaisar o Kasra aur Najashi sab ke darbaar me, lekin Allah ki kasam mai ne kabhi nahi dhekha ke kisi baadshah ke sathi uski is darja taazeem karte hon jitni Rasoolallah ke ashaab Rasoolallah ki karte hai, Allah ki qasam agar Rasoolallah balgam bhi thook diya toh unke ashaab ne use apne hathoon me le liya aur use apne chehra aur badan par mal liya, Rasoolallah ne unhein agar koi hukum diya toh har shaks ne use baja laane ki koshish ki, Rasoolallah ne agar wuzu kiya toh aisa malum hota ke Rasoolallah ke bache hue wazu ke paani par ladai ho jayegi ki kaun us pani ko hasil karle. Rasoolallah ne jab guftagu shuru ki toh har taraf khamoshi chaa jati. In ke dilon me Rasoolallah ki taazeem ka yeh aalam tha ke RasoolAllah ko unki izzat ke wajah se nazar bhar kar bhi nahi dekh sakte the.”

Sahih al-Bukhari, book of conditions, book no. 54, hadith-2731, 2732.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo tamaam sahaba e karaam se raazi ho jaye aur hame unke naqsheqadam par chalne ki taufeek ata kare. aameen.