اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2019

'Allah-Muhammad' Ka Naksh Banana Kaisa Hai?

hi  -
Alhamdulillah..

Hamare muashre me kuch gharo ke bahar ya fir gharo ke andar ye dekha jata hai ki 'Allah-Muhammad' naam ka naksh bana hua hota hai. Aur baaz auqat kapdo me bhi iska design bana hua hota hai. Is tarha ka naksh banana thik nahi hai kyuki isme shirk ki bu (smell) aati hai. Agar ek gair-muslim ise dekhega to use Tawheed ka ahsaas ho na ho lekin shirk ka ahsaas zarur ho jayega.

Hamari daleel ye hai:

Adi bin Hatim ؓ riwayat karte hai ki ke ek shakhs ne RasoolAllah ﷺ ke samne khutba diya aur (is mein) kaha: 'Jo Allah aur uske Rasool ki itaat karta hai usne rushad aur hidayat paali aur jo in dono ki nafarmani karta hai woh bhatak gaya.'
Is par RasoolAllah ﷺ ne farmaya: 'Kitna bura khateeb hai tu, (fiqre ke pahle hisse ki tarah) yun kaho, jisne Allah ki aur uske Rasool ki na farmani ki (woh gumraah hua).'
Ibn Numair kahte hai: Balki wo gumraah ho gaya.

Sahih Muslim, kitab al Jumah ﴾7﴿, hadith- 2010.

Is hadees me RasoolAllah ﷺ ne khateeb ko sirf isliye danta kyuki unhone Allah aur Rasool kahne ke bajaye 'Dono' alfaz kah diya tha, toh agar aj Rasool ﷺ maujud hote to wo kaise iski ijazat de dete ki koi Allah-Muhammad ka naksh banwa kar in dono naamo ko ek sath ek muqam par rakh de.

Kuch log ek aetraz kar sakte hai ki Allah aur Muhammad naam ek sath rakh kar koi Rasool ko Khuda ka darja nahi deta hai toh fir ye kyu galat hoga. Toh iska jawab ye hai ki agar ham gaur kare to wo sahabi (khateeb) 'Dono' ka lafz istemal kar ke Rasool ko Allah ka darja nahi de raha tha lekin iske ba-wujud RasoolAllah ne unhe is chiz se mana farmaya.

Iske bajaye wo naksh lagaye jaye jisse Tawheed ki khushbu aati ho aur Huzur ﷺ ki shaan bayan hoti ho jaise La ilaha illallah Muhammadur RasoolAllah, wagaira.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sidhi raah ata kare. aameen.